Bharosa Kar Tu Ishwar Par (भजन: भरोसा कर तू ईश्वर पर)


Bharosa Kar Tu Ishwar Par,
Tujhe Rona Nahi Hoga ।
Yah Jeevan Beet Jayega,
Tujhe Rona Nahi Hoga ॥
Kabhi Sukh Hai Kabhi Dukh Hai,
Yah Jeevan Dhoop Chhaya Hai ।
Hansi Me Hi Bita Dalo,
Beetani Hi Yah Maya Hai ॥

Jo Sukh Aave To Hans Dena,
Jo Dukh Aave To Sah Lena ।
Na Kahna Kuchh Kabhi Jag Se,
Prabhu Se Hi Tu Kah Lena ॥

Yah Kuchh Bhi To Nahi Jag Mein,
Tere Bus Karm Ki Maya ।
Tu Khudh Hi Dhoop Mein Baitha,
Likhe Nij Roop Ki Chhaya ॥

Kahan Pe Tha, Kahan Tu Tha,
Kabhi To Soch Ae Bande ।
Jhuka Kar Sheesh Ko Kah De,
Prabhu Bande! Prabhu Bande ॥
भजन: भरोसा कर तू ईश्वर पर - हिन्दी में पढ़ें
भरोसा कर तू ईश्वर पर, तुझे धोखा नहीं होगा । यह जीवन बीत जायेगा, तुझे रोना नहीं होगा ॥ कभी सुख है कभी दुख है...
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya BhajanAll Time BhajanSatsang Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye,Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,
Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye ॥

Mat Barso Inder Raj

Aji mat barso Inder Raj, Ya Jag Sethani Bhije, Ya Jag Sethani Bhije, Mhari Raj Rani Bhije, Aji mat barso Inder Raj, Ya Jag Sethani Bhije ॥