Bhigi Palko Tale Sahami Khwahish Pale (भीगी पलकों तले, सहमी ख्वाहिश पले - भजन)


Bhigi Palkon Tale,
Sahami Khwahish Pale,
Manjile Lapata,
Shyaam Kaise Chalen,
Aise Mein Sanware,
Tu Bata Kya Kare,
Ghaav Ab Bhi Hara,
Jaane Kaise Bhare,
Bhigi Palko Tale,
Sahami Khwahish Pale ॥
Deti Hi Rahati Hai,
Dard Ye Dillagi,
Jana Ab Sanware,
Kya Hai Ye Zindagi,
Zindagi Vo Nadi,
Unchi Laharon Bhari,
Tairne Ka Humen,
Kuchh Tajurba Nahin,
Kuchh Tajurba Nahin,
Pahuncha Paani Gale,
Na Kinara Mile,
Manjile Lapata,
Shyam Kaise Chalen,
Bhigi Palko Tale,
Sahami Khwahish Pale ॥

Haal Behal Hai,
Aankhon Mein Hai Nami,
Waqt Bhage Bada,
Hasrate Hai Thami,
Rahate Kuchh Nahin,
Aajmaati Kami,
Sukhe Armaano Ki,
Tooti Phooti Zami,
Karde Tu Ek Najar,
Tript Varsha Pade,
Manjile Lapata,
Shyam Kaise Chalen,
Bhigi Palko Tale,
Sahami Khwahish Pale ॥

Daas Ki Dev Ki,
Kis Ki Tohin Hai,
Bhakt Ki Ye Dasha,
Kyon Vo Gamgin Hai,
Bhadte Mere Kadam,
Par Dasha Heen Hai,
Poochhte Hai Pata,
Vo Kahan Leen Hai,
Haal Pe Kadmo Ka,
Jor Bhi Na Chale,
Manjile Lapata,
Shyam Kaise Chalen,
Bhigi Palko Tale,
Sahami Khwahish Pale ॥

Ho Gayi Hai Khata,
To Saja Dijiye,
Prem Se Prem Ki,
Par Sulah Kijiye,
Maun Ab Na Rahe,
Kuchh Bata Dijiye,
Chhupti Mujhse Khushi,
Ka Ab Pata Deejie,
Dhoondhe ‘nirmal’ Tujhe,
Ab Laga Lo Gale,
Manjile Lapata,
Shyam Kaise Chalen,
Bhigi Palko Tale,
Sahami Khwahish Pale ॥

Bhigi Palkon Tale,
Sahami Khwahish Pale,
Manjile Lapata,
Shyam Kaise Chalen,
Aise Mein Sanware,
Tu Bata Kya Kare,
Ghaav Ab Bhi Hara,
Jaane Kaise Bhare,
Bhigi Palko Tale,
Sahami Khwahish Pale ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
भीगी पलकों तले, सहमी ख्वाहिश पले - भजन - हिन्दी में पढ़ें
भीगी पलकों तले, सहमी ख्वाहिश पले, मंजिले लापता, श्याम कैसे चलें...
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami BhajanJagjit Singh Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

New Bhaye Pragat Kripala Bhajan By Manoj Muntashir

Bhaye Pragat Kripala, Deendayala, Kausalya Hitakari । Harashit Mahatari, Muni Mana Hari, Adbhut Roop Bichari

Jiski Lagi Re Lagan Bhagwan Mein

Jiski Lagi Re Lagan Bhagwan Mein, Uska Diya Re Jalega Toophan Mein ।

Mil Kaho Garv Se Hindu Hain Ham

Mil Kaho Garv Se Hindu Hai Hum, Yah Hindustan Humara, Tha Swami Ji Ka Nara...

Rom Rom Me Basa Hua Hai Ek Usi Ka Naam

Rom Rom Mein Basa Hua Hai, Ek Usi Ka Naam, Tu Japle Ram Ram Ram, Tu Bhajle Ram Ram Ram, Rom Rom Mein Basa Hua Hain ॥

Badhaiya Baje Angane Mein

Badhaiya Baje Aangne Mein, Badhaiya Baje Aangne Me ॥Chandramukhi Mrignayani Avadh Ki, Todat Taane Raagne Mein..