Bholenath Ka Main Banjara (भोले नाथ का मैं बनजारा: भजन)


Bhole Nath Ka Main Banjara,
Chhod Diya Maine Jag Sara,
Pata Bata Do Neel Kanth Ka,
Pata Bata Do Neel Kanth Ka,
Main Jau Shiv Dham,
Ke Mujhe Kahi Nahin Jana,
Shiv Ka Main Hu Savali,
Bhatak Raha Hoon Jangal Jangal,
Chhod Diya Hai Maine Anjal,
Jab Tak Bhole Nahin Milege,
Karu Nahin Aaram,
Ke Mujhe Kahi Nahin Jana,
Shiv Ka Main Hoon Savali,

Shiv Sevak Hoon Main Matwala,
Baba Mera Dev Nirala,
Dhundat Dhundat Shivshankar Ko,
Dhundat Dhundat Shivshankar Ko,
Subah Se Ho Gayi Sham,
Ke Mujhe Kahi Nahin Jana,
Shiv Ka Main Hoon Savali,

Jo Bhi Mila Hai Mujhe Hath Se,
Kaam Karunga Donon Hath Se,
Pairo Ki Upkar Mein Uska,
Pairo Ki Upkar Mein Uska,
Manunga Aatho Yaam ,
Ke Mujhe Kahi Nahin Jana,
Shiv Ka Main Hoon Savali,

Bhole Nath Ka Main Banjara,
Chhod Diya Maine Jag Sara,
Pata Bata Do Neel Kanth Ka,
Pata Bata Do Neel Kanth Ka,
Main Jau Shiv Dham,
Ke Mujhe Kahi Nahin Jana,
Shiv Ka Main Hu Savali,
भोले नाथ का मैं बनजारा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
भोले नाथ का मैं बनजारा, छोड़ दिया मैंने जग सारा, सुबह से हो गई शाम..
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Tum Bhi Bolo Ganpati Aur Hum Bhi Bole Ganpati

Maaniye Pahale Gajanan, Gajvadan Hey Ganapati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Tum Bhi Bolo Ganpati, Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Apna Hai Seth Ganpati Lala

Apna Hai Seth Ganpati Lala, Shiv Shankar Sut Dev Ganapati, Devo Mein Balakare, Sabase Pahale Tera Sumiran, Karati Duniya Sari, Devo Mein Dev Hai Niraala, Apna Hai Seth Ganpati Lala ॥

Gauri Ke Ladle

Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan, Karta Hai Sabse Pahale, Pooja Teri Jahan, Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan ॥

Padharo Mhare Angana Ji

Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Padharo Mhare Angna Ji, Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji ॥