Chale Pawan Ki Chaal Mera Bajrangbali (चले पवन की चाल, मेरा बजरंगबली: भजन)


Laal Langota Haath Main Sota,
Chale Pawan Ki Chal,
Mera Bajarangbali ॥
Maa Anjani Ka Pyara Hai,
Ram Bhagat Matwala Hai,
Ram Bhajan Main Mast Rahe,
Bhakto ka Rakhwala Hai,
Bhoot Pret Ko Maar Bhagaye,
Dustho Ka Hai Kaal,
Mera Bajarangbali ॥

Jab Jab Ram Ne Hukum Diya,
Paal Main Pura Kaam Kiya,
Ram Sahara Le Kar Ke,
Pura Parvat Utha Diya,
Ram Sumir Kar Gad Lanka Main,
Dhara Roop Bikaral,
Mera Bajarangbali ॥

Ram Tere Maan Vachan Mein Hai,
Ram Tere Darshan Mein Hai,
Rom Rom Mein Ram Tere,
Raam Tere Sumiran Mein Hai,
Darsh Kara De Shreeram Ka,
Hey Anjani Ke Laal,
Mera Bajarangbali ॥

Mangal Aur Sanivar Ke Din,
Teri Puja Bhari Hai,
Salasar Mehendipur Mein,
Teri Mahima Nyari Hai,
Ye ‘Lakhkha’ Ab Tujhe Manaye,
Kaat Mere Janjaal,
Mera Bajarangbali ॥

Laal Langota Haath Main Sota,
Chale Pawan Ki Chal,
Mera Bajarangbali ॥
चले पवन की चाल, मेरा बजरंगबली: भजन - हिन्दी में पढ़ें
लाल लंगोटा हाथ में सोटा, चले पवन की चाल, मेरा बजरंगबली ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥