Dadi Ke Darbar Ki Mahima Aprampaar (दादी के दरबार की, महिमा अपरम्पार: भजन)


Dadi Ke Darbar Ki,
Mahima Aprampaar,
Har Paal Bhakton Ke Upar,
Maa Barse Tera Pyar,
Dadi Ke Darbar Ki,
Mahima Aprampaar ॥
Budhe Balak Aur Nar Nari,
Maa Ke Dar Pe Aate Hai,
Khali Jholi Lekar Aate,
Baar Baar Jholi Jate Hai,
Jo Mango Se Mil Jaye,
Maa Dene Ko Tayar,
Dadi Ke Darbar Ki,
Mahima Aprampaar ॥

Sare Jag Ki Ye Sethani,
Sab Bachho Ki Maata Hai,
Deti Hai Chup Chap Sabhiko,
Pata Nahi Chal Pata Hai,
Wo Donon Haath Lutaye,
Par Bhara Rahe Bandar,
Dadi Ke Darbar Ki,
Mahima Aprampaar ॥

Jiske Maan Mein Shradha Bhakti,
Maiya Laad Ladati Hai,
Uske Khatir Bina Bulaye,
Doudi Doudi Aati Hai,
Ase Premi Ka Ghar To,
Hai Maiya Ka Parivar,
Dadi Ke Darbar Ki,
Mahima Aprampaar ॥

Sachhe Maan Se Sumiran Karlo,
Teri Sunai Kar Legi,
Maan Ki Pida Maa Se Kahado,
Sare Sankat Har Legi,
Kyon Ghabarata Hai ‘Binnu’,
Tu Aaja Maa Ke Dwar,
Dadi Ke Darbar Ki,
Mahima Aprampaar ॥

Dadi Ke Darbar Ki,
Mahima Aprampaar,
Har Paal Bhakton Ke Upar,
Maa Barse Tera Pyar,
Dadi Ke Darbar Ki,
Mahima Aprampaar ॥
दादी के दरबार की, महिमा अपरम्पार: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दादी के दरबार की, महिमा अपरम्पार, हरपल भक्तों के ऊपर, माँ बरसे तेरा प्यार, दादी कें दरबार की, महिमा अपरम्पार ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mera Sankat Katne Wala Hai

Mere Sankat Katne Wala Hai, Bajarangi Ki Kirapa Se, Mere Sankat Katne Wala Hai, Bajarangi Ki Kirapa Se,
Ab Chhapar Phatane Wala Hai ॥

Sanjivan Lene Bajrangi Pawan Veg Se Aaye

Sanjivan Lene Bajarangi, Pavan Veg Se Aaye, Parvat Haath Uthaye, Parvat Haath Uthaye, Dhundh Dhundh Kar Haar Gaye Jab, Buti Khoj Na Paye, Parvat Haath Uthaye ॥