Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar (धूम मची है धूम माँ के दर - भजन)


Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar,
Dhoom Machi Hai Dhoom ॥
Shloka - Kahi Na Chain Mila,
Jab Humko Is Jamane Main,
To Bada Aram Mila,
Maiya Ke Dar Aane Main ॥

Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar,
Dhoom Machi Hai Dhoom,
Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar,
Dhoom Machi Hai Dhoom,
Dwar Pe Aake Shish Jhuka Ke,
Dwar Pe Aake Shish Jhuka Ke,
Chokhat Maa Ki Chum Chum Chum,
Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar,
Dhoom Machi Hai Dhoom ॥

Aake Darwar Main Jagdambe Ka,
Darshan Kar Le,
Vyarth Mein Kho Raha Jivan,
Use Saphal Kar Lo,
Kam Se Kam Aake To Najaro Se,
Najaara Kar Lo,
Maiya Ke Dar Pe Jane Ka,
Sahara Kar Le,
Chod Sansar Ko Maiya Ki,
Saran Jo Aaye,
Jo Bhi Vardan Ki Eccha Ho,
Turat Mil Jaye,
Gar Daya Kar De Meri Maiya To,
Bhandar Bhare,
Gar Najar Phir Le Meri Maiya To,
Phir Sanhar Kare,
Maa Ke Dwar Mein Aane Se ‘Kakhkha’,
Kya Darna,
Kasta Mit Jaye Sabhi Chum Le,
Maa Ke Charan,
Maa Ko Manalo,
Dil Main Basalo,
Dil Main Basa Ke Jhum Jhum Jhum,
Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar,
Dhoom Machi Hai Dhoom ॥

Unche Parvat Pe Meri Maa,
Ki Dhwaj Laharaye,
Maa Ki Shakti Se Langada Bhi,
Pahad Chadh Jaye,
Papi Aur Dusht Ko Deti Hai,
Maiya Asi Saja,
Maa Ke Bhakto Ki Dor,
Maa Ke Hathon Mein Hai Sada,
Maa Agar Kar De Mehar,
Kaam Sabhi Ban Jae,
Papi Gar Bhul Se Aae,
To Wo Bhi Tar Jae,
Jo Bhi Aata Dar Pe,
Jholi Pal Main Bhar Jati,
Sara Sansar Bhikhari Hai,
Maa Hai Ek Dati,
Mahima Maa Ki,
Akbar Jani,
Gaya Tha Dar Ko,
Chum Chum Chum,
Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar,
Dhoom Machi Hai Dhoom ॥

Maa Ki Shakti Se Kasht,
Pal Bhar Mein Tal Jaye,
Bhut Aur Pret Ki Badha,
Sabhi Nikal Jaye,
Aao Sab Milke,
Maiya Ko Namaskar Karo,
Moh Aur Maya Ka Bas,
Dil Se Tiraskar kare,
Jisne Hai Jo Manga,
Uski Wahi Chiz Mili,
Itna Pawan Hai Maa Ka,
Naam Sabhi Gate Hai,
Bande To Kya Hai,
Devta Bhi Sar Jhukate Hai,
Maa Mahakali Hai,
Laal Dwaj Hai,
Mast Sama Hai,
Lakkha Gaye Jhoom Jhoom Jhoom,
Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar,
Dhoom Machi Hai Dhoom ॥

Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar,
Dhoom Machi Hai Dhoom,
Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar,
Dhoom Machi Hai Dhoom,
Dwar Pe Aake Shish Jhuka Ke,
Dwar Pe Aake Shish Jhuka Ke,
Chokhat Maa Ki Chum Chum Chum,
Dhoom Machi Hai Dhoom Maa Ke Dar,
Dhoom Machi Hai Dhoom ॥
धूम मची है धूम माँ के दर - भजन - हिन्दी में पढ़ें
धूम मची है धूम माँ के दर, धूम मची है धूम, द्वार पे आके शीश झुका के, द्वार पे आके शीश झुका के, चौखट माँ की चुम चुम चुम, धूम मची है धूम माँ के दर, धूम मची है धूम ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Le Chal Apni Nagariya, Avadh Bihari Sanvariya

Le Chal Apni Nagariya, Awadh Bihari Sanwariyan । Awadh Bihari Sanwariya, Len Chal Apni Nagariya ।

Tum Asha Vishwas Hamare Bhajan

Naam Na Jane, Dham Na Jane, Jane Na Seva Pooja, Tum Asha Vishwas Hamare...

Bhajan: Yahi Aasha Lekar Aati Hu

Yahi Asha Lekar Ati Hun, Har Bar Tumhare Mandir Mein, Kabhi Neh Ki Hogi Mujhpar Bhi Bauchhar...

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Shri Ram Katha Ki Mahima Ko Ghar Ghar Me Pahuchana Hai

Shri Ram Katha Ki Mahima Ko, Ghar Ghar Me Pahuchana Hai, Ram Naam Ki Bhakti Ko, Jan Jan Main Jagana Hai, Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram, Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram ॥