Dhyanu Ki Tarah Ambe Mera Naam Amar Kardo (ध्यानु की तरह अम्बे, मेरा नाम अमर कर दो: भजन)


Dhyanu Ki Tarah Ambe,
Mera Naam Amar Kardo,
Charanon Mein Mit Jaun,
Bhakti Ki Najar Kar Do,
Dhyanu Ki Tarah Ambe,
Mera Naam Amar Kardo ॥
Chola Basanti Maa,
Pahana Hai Liye Masti,
Sar Prem Ke Bane Mein,
Laali Hai Teri Hasti,
Jhankar Ke Chhainon Ki,
Is Maan Ko Sanwar Kar Do,
Dhyanu Ki Tarah Ambe,
Mera Naam Amar Kardo ॥

Mangalamay Shubh Jyoti,
Maan Mandir Mein Jagi,
Tera Panth Nirala Hai,
Mohe Sanchi Lagan Lagi,
Gun Gaan Kare Wani,
Swason Mein Asar Kar Do,
Dhyanu Ki Tarah Ambe,
Mera Naam Amar Kardo ॥

Maata Aur Bete Ka,
Rishta Ye Purana Hai,
Mamta Mein Bandhati Wo,
Mainne To Ye Jaana Hai,
Rahamat Ki Nigahen Maa,
Ek Baar Agar Kar Do,
Dhyanu Ki Tarah Ambe,
Mera Naam Amar Kardo ॥

Dhyanu Ki Tarah Ambe,
Mera Naam Amar Kardo,
Charanon Mein Mit Jaun,
Bhakti Ki Najar Kar Do,
Dhyanu Ki Tarah Ambe,
Mera Naam Amar Kardo ॥
ध्यानु की तरह अम्बे, मेरा नाम अमर कर दो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ध्यानु की तरह अम्बे, मेरा नाम अमर कर दो, चरणों में मिट जाऊं, भक्ति की नजर कर दो, ध्यानु की तरह अम्बें, मेरा नाम अमर कर दो ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shri Ram Jay Ram Jay Jay Ram Dhun

Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram, Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram..

Jal Jaaye Jihwa Papini, Ram Ke Bina

Ram Bina Nar Aise Jaise, Ashv Lagaam Bina । Jal Jaaye Jihwa Papini

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Janaki Stuti - Bhai Pragat Kumari

Bhai Pragat Kumari Bhoomi-vidari Jan Hitkari Bhayhari । Atulit Chhabi Bhari

Sita Sita Sita Ram Gaiye

Sita Sita Sita Ram Gaiye, Chahe, Radhe Radhe Radhe Shyam Gaiye, Sita Ram Gaiye