Dil Mein Shree Ram Base Hai Sang Mata Janki (दिल में श्री राम बसे हैं, संग माता जानकी: भजन)


Dil Main Shree Ram Base Hai,
Sang Mata Janaki,
Baitha Khadtal Bajaye,
Raghubar Ke Naam Ki ॥
Aathon Pahar Chaubison Ghante,
Ram Ki Mahima Gaye,
Ram Ki Mahima Gaye,
Ram bhajan ki masti Mein Ye,
Sudh Sari Bisaraye,
Sudh Sari Bisaraye,
Manakon Mein Ram Nahin Vo,
Mala Kis Kaam Ki,
Baitha Khadtal Bajaye,
Raghubar Ke Naam Ki ॥

Ram Deewana Ram Prabhu Ke,
Atake Kaaj Sanvaare,
Atake Kaaj Sanvaare,
Sankat Mein Ye Dauda Aaye,
Sare Kasht Nivaare,
Sare Kasht Nivaare,
Seva Mein Haajir Rahata,
Chaukhat Pe Ram Ki,
Baitha Khadtal Bajaye,
Raghubar Ke Naam Ki ॥

Ram Lakhan Maa Sita Ki Jo,
Jay Jayakaar Lagaye, Jay Jayakaar Lagaye,
‘Harsh’ Kahe Vo Veer Bali Ki,
Pal Mein Kirapa Paye,
Pal Mein Kirapa Paye,
Milake Jayakaar Lagao,
AnjanI Ke Laal Ki,
Baitha Khadtal Bajaye,
Raghubar Ke Naam Ki ॥

Dil Main Shree Ram Base Hai,
Sang Mata Janaki,
Baitha Khadtal Bajaye,
Raghubar Ke Naam Ki ॥
दिल में श्री राम बसे हैं, संग माता जानकी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दिल में श्री राम बसे हैं, संग माता जानकी, बैठा खड़ताल बजाए, रघुवर के नाम की ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Narayani Sharanam

Maan Se Bhakti Hai, Maan Se Shakti Hai, Maan Se Mukti Hai, Karta Jo Maan Ka Sumiran...

Maiya Tere Bhakto Ko Tera Hi Sahara Hai

Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai, Tere Bina Is Jag Mein, Koi Na Hamara Hai, Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai ॥

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..