Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale (दूसरों का दुखड़ा दूर करने वाले: भजन)


Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kiye Ja Tu Jag Mein Bhalai Ka Kaam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kiye Ja Tu Jag Mein Bhalai Ka Kaam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Ponchh Le Tu Apne Aansoo Tamam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ॥

Sach Ka Hai Path Le Dharm Ka Marg,
Sambhal Sambhal Chalna Prani ।
Pag Pag Par Hai Yahan Re Kasauti,
Kadam Kadam Par Kurbani ।
Magar Tu Dava Dol Na Hona,
Teri Sab Peer Harenge Ram ॥

Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kiye Ja Tu Jag Main Bhalai Ka Kaam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।

Kya Tune Paya, Kya Tune Khoya,
Kya Tera Labh Hai Kya Hani ।
Is Ka Hisab Karega Vo Ishwar,
Kyun Tu Phikar Kare Re Prani ।
Tu Bas Apna Kaam Kie Ja,
Tera Bhandar Bharenge Ram ॥

Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kiye Ja Tu Jag Mein Bhalai Ka Kaam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।

Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kiye Ja Tu Jag Mein Bhalai Ka Kaam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Ponchh Le Tu Apne Aansoo Tamam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ॥
दूसरों का दुखड़ा दूर करने वाले: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दूसरों का दुखड़ा दूर करने वाले, तेरे दुःख दूर करेंगे राम । किये जा तू जग में भलाई का काम, तेरे दुःख दूर करेंगे राम ।
Bhajan Inspirational BhajanVed BhajanArya Samaj BhajanHawan BhajanYagya BhajanPradeep Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Sar Pe Chunariya Lal Aur Hatho Mein Mehandi Rachai Hai

Sar Pe Chunariya Lal, Aur Hathon Mein Mehndi Rachai Hai, Bhakto Ke Ghar Maan Aai Hai, Sar Pe Chunariya Lal..

Dware Tihare Badi Bheed Ho Jagdambe

Dware Tihare Badi Bheed Ho Jagdambe-maiya, Maiya Dware Tere Kanya Pukare...

Maa Choti Choti Kanyaen

Dekhi Tere Darbar Maa, Chhoti-chhoti Kanyaen । Leela Karen Apar Maa, Chhoti-chhoti Kanyaen ॥..

Chintapurni Maan Meri Bhi Bigdi Banao

Namo Namo Maan Chintapurani , Namo Namo Maan Chintapurani, E Chintapurani Maan, Meri Bhi Bigadi Banao, Main Sharan Pada Teri Mere Soye Bhag Jagao

Main Hoon Beti Tu Hai Mata

Mai Hoon Beti Tu Hai Mata, Ye Hai Janam-janam Ka Nata । Mata Raniyen Tujhe Main Bulane Aai Hoon..