Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mukhda Dekh Le Prani, Jara Darpan Main (मुखड़ा देख ले प्राणी, जरा दर्पण में - भजन)


Mukhda Dekh Le Prani, Jara Darpan Main
Mukhda Dekh Le Prani,
Jara Darpan Mein Ho,
Dekh Le Kitna,
Punya Hai Kitna,
Paap Tere Jeevan Mein,
Dekh Le Darpan Mein,
Mukhda Dekh Le Prani,
Jara Darpan Mein ॥
Kabhi to Pal Bhar Soch Le Prani,
Kya Hai Teri Karam Kahani ।
Kabhi to Pal Bhar Soch Le Prani,
Kya Hai Teri Karam Kahani ।

Pata Laga Le,
Pata Laga Le Pade Hain Kitne,
Daag Tere Daman Mein
Dekh Le Darpan Mein,
Mukhda Dekh Le Prani,
Jara Darpan Mein ॥

Khud Ko Dhokha De Mat Bande,
Achchhe Na Hote Kapat Ke Dhandhe ।
Khud Ko Dhokha De Mat Bande,
Achchhe Na Hote Kapat Ke Dhandhe ।

Sada Na Chalta,
Sada Na Chalta Kisi Ka Natak,
Duniya Ke Aangan Mein,
Dekh Le Darpan Mein,
Mukhda Dekh Le Prani,
Jara Darpan Mein ॥

Mukhda Dekh Le Prani,
Jara Darpan Mein Ho,
Dekh Le Kitna,
Punya Hai Kitna,
Paap Tere Jeevan Mein,
Dekh Le Darpan Mein,
Mukhda Dekh Le Prani,
Jara Darpan Mein ॥

मुखड़ा देख ले प्राणी, जरा दर्पण में - भजन हिन्दी में पढ़ें

मुखड़ा देख ले प्राणी, जरा दर्पण में हो, देख ले कितना, पुण्य है कितना, पाप तेरे जीवन में, देख ले दर्पण में..
 
Next »
Read Also

Bhajan Collage BhajanInspirational BhajanVed BhajanArya Samaj BhajanPradeep Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Maat Ang Chola Saje Har Rang Chola Saje

Maat Ang Chola Saje, Har Rang Chola Saje Maat Ki Mahima Dekho, Jyot Din Raina Jage

Jhumar Jhalke Amba Na Gora Gaal Pe Re

Ai Bhi Re Bhi Re, Kumhara Tane Vinavu Re, Mhari Mata Saaru, Deevda Lai Aavjo Re, Jhumar Jhalke Amba Na, Gora Gaal Pe Re ॥

Mhari Dadi Jagat Sethani

Mhari Dadi Jagat Sethani, Mharo Moj Kare Paribar, Mahri Dadi Ji, Mang Leva Dadi Se Jad Bhi,
Mang Leva Dadi Se Jad Bhi, Pade Koi Darkar, Mahri Dadi Ji, Mhari Dadi Jagat Sethani, Mharo Moj Kare Paribar, Mahri Dadi Ji ॥

Mere Kanth Baso Maharani

Mere Kanth Baso Maharani, Na Mein Janu Puja Teri, Na Mein Janu Mahima Teri, Main Murakh Agyani,
Mere Kanth Baso Maharani ॥

Jagdamba Ghar Mein Diyara

Jagdamba Ghar Mein Diyara Baar Aini He, Sone Surahi Gangajal Paani

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP