Ek Hari Ko Chorh Kisi Ki Chalti Nahi Hai Manmani (एक हरि को छोड़ किसी की चलती नहीं है मनमानी - भजन)


Ek Hari Ko Chhod Kisi Ki,
Chalati Nahin Hai Manmani,
Chalti Nahi Hai Manmani......
Lankaapati Raavan Yoddha Ne,
Sita Ji Ka Haran Kiya,
Ik Lakh Poot Sawalakh Naati,
Khokar Kul Ka Naash Kiya,
Dhaan Bhari Vo Sone Ki Lanka,
Ho Gai Pal Me Kooldhaani,
Ek Hari Ko Chhod Kisi Ki,
Chalti Nahi Hai Manmani......

Mathura Ke Us Kans Raja Ne,
Bahan Devaki Ko Traas Diya,
Saare Putr Maar Diye Usne,
Tab Prabhu Ne Avtar Liya,
Maar Giraya Us Papi Ko,
Tha Mathura Me Balshali,
Ek Hari Ko Chhod Kisi Ki,
Chalti Nahi Hai Manmani.....

Bhasmasur Ne Kari Tapasya,
Shankar Se Vardan Liya,
Shankar Ji Ne Khush Hokar Use,
Shakti Ka Vardan Diya,
Bhasm Chala Karne Shankar Ko,
Shankar Bhage Haridani,
Ek Hari Ko Chhod Kisi Ki,
Chalti Nahi Hai Manmani.......

Use Maarne Shri Hari Ne,
Sundari Ka Rup Liya,
Jesa Jesa Nache Mohan,
Vesa Vesa Nach Kiya,
Apne Hath Ko Sar Par Rakhkar,
Bhasm Hua Vo Abhimani,
Ek Hari Ko Chhod Kisi Ki,
Chalti Nahi Hai Manmani......

Suno Suno E Duniya Vaalo,
Pal Bhar Me Mit Jaoge,
Guru Charanon Me Jaldi Jao,
Hari Charanon Ko Paoge,
Bhajanaanad Kahe Hari Bhajalo,
Do Din Ki Hai Zindagani,
Ek Hari Ko Chhod Kisi Ki,
Chalti Nahi Hai Manmani.......
एक हरि को छोड़ किसी की चलती नहीं है मनमानी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
एक हरि को छोड़ किसी की, चलती नहीं है मनमानी, चलती नही है मनमानी......
Bhajan Shri Hari BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navami BhajanJanaki Jayanti BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye