Gajanan Puran Kaaj Karo (गजानन पूरण काज करो - भजन)


Gajanan Puran Kaaj Karo,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Hey Maharaj Karo,
Gajanan Puran Kaaj Karo ॥
Shlok – Mangal Karde,
Amangal Ko,
Khatam Kar De,
Har Dangal Ko,,
Jahaan Ho Swagat,
Shri Ganapati Ka,
Mangal Bana De Vo,
Jangal Ko ॥

Gajanan Puran Kaaj Karo,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Hey Maharaj Karo,
Gajanan Puran Kaaj Karo ॥

Vighn Haran Mangal Ke Data,
Pratham Tumhara Sumiran,
Dhyan Dhare Gungan Kare,
Kya Dhanvaan Kya Nirdhan,
Gajanan, Sar Par Hath Dharo,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Hey Maharaj Karo,
Gajanan Puran Kaaj Karo ॥

Pita Sadashiv Bhole Shankar,
Gauri Maan Ke Dulare,
Riddhi Siddhi Ang Sang Sohe,
Shubh Shubh Charan Tumhare,
Padharo, Ji Bhandar Bharo,
Gajanan Puran Kaaj Karo,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Hey Maharaj Karo,
Gajanan Puran Kaaj Karo ॥

Paan Supari Shriphal Durva,
Modak Bhar Bhar Thaal,
Ladduvan Bhar Bhar Thaal,
Rakhiyo Apne Bhakto Ki,
Deejo Sur Aur Taal,
Jee Mere Avgun Dosh Haro,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Hey Maharaj Karo,
Gajanan Puran Kaaj Karo ॥

Gajanan Puran Kaaj Karo,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Saphal Humara Ye Aayojan,
Hey Maharaj Karo,
Gajanan Puran Kaaj Karo ॥
गजानन पूरण काज करो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
गजानन पूरण काज करो, सफल हमारा ये आयोजन, सफल हमारा ये आयोजन, हे महाराज करो, गजानन पूरण काज करो ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhigi Palko Tale Sahami Khwahish Pale

Bhigi Palkon Tale, Sahami Khwahish Pale, Manjile Lapata, Shyaam Kaise Chalen...

Ghanshyam Tum Na Aaye Jeevan Ye Beeta Jaye

Ghanshyam Tum Na Aaye, Jeevan Ye Beeta Jaye ॥ Tera Viyog Pyare, Ab to Saha Na Jaye...

Banke Bihari Krishan Murari

Banke Bihari Krishna Murari, Meri Bari Kahan Chupe, Darshan Dijo Sharan Mein Lijo..

Shri Dandraua Sarkar Tumahari Jai Hove

Shri Dandraua Sarkar, Tumhari Jay Hove, Tumhari Jay Hove, Tumhari Jay Hove...

Govind Chale Aao, Gopal Chale Aao

Govind Chale Aao, Gopal Chale Aao, Mere Murlidhar Madhav