Ganesh Ji Ke Naam Se Bhakto Ka Kalyan Hota Hai (गणेश जी के नाम से भक्तो का, कल्याण होता है - भजन)


Ganesh Ji Ke Naam Se Bhakto Ka,
Kalyan Hamesa Hota Hai,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Uddhar Usika Hota Hai,
Ganesh Ji Ke Naam Se Bhakto Ka ॥
Dhan Ki Devi Bani Teri Daasi Hai,
Tere Darshan Ko Akhiyan Ye Pyasi Hai,
Chain Milata Hai Tujhako Rijhane Mein,
Kuchh Nahin Hai Tere Bin Jamane Mein,
Tere Hi Saye Ke Tale Jindegi Ye Pal Rahi Hai,
Bina Tere Naam Ke Duniya Mein,
Koi Kaam Kabhi Na Hota Hai,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Uddhar Usika Hota Hai,
Ganesh Ji Ke Naam Se Bhakto Ka ॥

Kasht Duniya Ke Tu Hi Mitata hai,
Bhukhe Ko Tu Hi Roti Khilata Hai,
Aaye Dar Pe Tere Hum Sawali Hai,
Daya Drashti Apani Karo,
Humpe Ai Krupalu Prabhu,
Kaam Krodh Lobh Moh Chhode Jo,
Gungan Usi Ka Hota hai,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Uddhar Usika Hota Hai,
Ganesh Ji Ke Naam Se Bhakto Ka ॥

Apni Akhiyon Mein Tujhko Basa Le Hum,
Apni Palkon Mein Tujhko Bitha Le Hum,
Roop Tera Prabhu Jag Se Nirala Hai,
Gauri Bhole Ki Akhiyon Ka Tara Hai,
Badhati Hi Janati Hai Lagan,
Dekh Teri Murti Ho,
Tere Hi Pratap Se Duniya Mein,
Har Kaam Sabhi Ka Hota Hai,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Uddhar Usika Hota Hai,
Ganesh Ji Ke Naam Se Bhakto Ka ॥

Mere Lab Pe Teri Hi Kahani Ho,
Teri Bhakti Meri Jindegani Ho,
Mere Maan Mein Sada Teri Murat Ho,
MerI Aankhon Mein Teri Hi Surat Ho,
Dil Mein Sada Jalti Rahe,
Jyoti Tere Gyan Ki Ho,
Naam Tera Dil Se Jo Lete Hai,
Samman Unhi Ka Hota hai,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Uddhar Usika Hota Hai,
Ganesh Ji Ke Naam Se Bhakto Ka ॥

Ganesh Ji Ke Naam Se Bhakto Ka,
Kalyan Hamesa Hota Hai,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Padti Hai Nazar Jis Par Bhi Teri,
Uddhar Usika Hota Hai,
Ganesh Ji Ke Naam Se Bhakto Ka ॥
गणेश जी के नाम से भक्तो का, कल्याण होता है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
गणेश जी के नाम से भक्तो का, कल्याण हमेशा होता है, पड़ती है नज़र जिस पर भी तेरी, पड़ती है नज़र जिस पर भी तेरी, उद्धार उसी का होता है, गणेश जी के नाम से भक्तों का ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Ram Nam Ke Heere Moti

Ram Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali । Krishn Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali ।

Ram Katha Sunkar Jana

Jivan Ka Nishkarsh Yahi Hai, Prabhu Prem Mein Lag Jana, Aao Sab Mil Baitho Pyaare, Ram Katha Sunakar Jaana, Aao Sab Mil Baitho Pyaare, Ram Katha Sunakar Jaana ॥

Main Bhi Bolun Ram Tum Bhi Bolo Na

Main Bhi Bolun Ram Tum Bhi Bolo Na, Ram Hai Anmol Mukh Ko Kholo Na ॥

Bol Suva Ram Ram Mithi Mithi Vani Re

Bol Suva Ram Ram, Meethi Meethi Vaani Re..

Hamare Sath Shri Raghunath Too Kis Baat Ki Chinta

Hamare Saath Shri Raghunath Too Kis Baat Ki Chinta। Sharan Mein Rakh Diya Jab Maath Too Kis Baat ..