Gauri Ke Ladle (गौरी के लाड़ले - भजन)


Gauri Ke Ladle,
Mahima Teri Mahan,
Karta Hai Sabse Pahale,
Pooja Teri Jahan,
Gauri Ke Ladle,
Mahima Teri Mahan ॥
Chandan Chauki Pe Biraje,
Data Gajashish Dhari,
Sheesh Swarn Mukut,
Gale Motiyan Mala Pyari,
Riddhi Siddhi Ang Sang,
Chhavi Sabse Hai Nyari,
Bhog Ladduvan Ka Lage,
Kare Moose Ki Sawari,
Pure Ho Kaam Tab Hi,
Pahale Tumhara Dhyan,
Gauri Ke Ladle,
Mahima Teri Mahan ॥

Mata Gauri Ji Ke Laal,
Shiv Bhole Ke Dulare,
Rakhe Bhakto Ki Laaj,
Kaaj Bigde Saware,
Ann Dhan Gyan Maan,
Se Vo Bharte Bhandare,
Tera Naam Saral,
Jo Bhi Man Se Pukare,
Bin Mange Lakha Paye,
Munh Manga Tumse Daan,
Gauri Ke Ladle,
Mahima Teri Mahan,
Karta Hai Sabse Pahale,
Pooja Teri Jahan,
Gauri Ke Ladle,
Mahima Teri Mahan ॥

आरती गणपती की | आओ जी गजानन आओ | श्री सिद्धिविनायक तेरी आरती गाऊं | गणपती बप्पा मोरया | श्री सिद्धिविनायक नमः
गौरी के लाड़ले - भजन - हिन्दी में पढ़ें
गौरी के लाड़ले, महिमा तेरी महान, करता है सबसे पहले, पूजा तेरी जहान, गौरी के लाडले, महिमा तेरी महान ॥
Bhajan Ekdantaya BhajanGauri Tanaya BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanVakratunda BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi BhajanSidhivinayak Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon

Kare Hahakar, Nihshabd Sada O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Shiv Ki Jata Se Barse Ganga Ki Dhar Hai

Shiv Ki Jata Se Barase, Ganga Ki Dhar Hai, Ganga Ki Dhar hai, Mahina Ye Sawan Ka Hai,
Chae Bahar Hai ॥