Ghabrana Nahi Pyare Ek Sahara Shyam Ka (घबराना नहीं प्यारे एक सहारा श्याम का - भजन)


Mushkil Din Bhi Aayenge, Tu Dheeraj Mat Khona,
Apnon Ko Jab Chhoooge, Ban Jayega Mati Sona।
Path Mein Ghane Andhere Hon, Man Ko Na Darana,
Ram Naam Ka Deep Jalakar, Aage Badhte Jana।
Ghabrana Nahin Pyare, Ghabrana Nahin, Prabhu Ke Charanon Se Kabhi Door Jana Nahin।
Ghabrana Nahin Pyare, Ghabrana Nahin, Ek Sahara Shyam Ka, Bus Bhool Jana Nahin।
Bhaktibharat Lyrics

Jag Ke Jhoothe Naate-Rishte, Ret Ki Deewaren Han, Sukh Mein Sab Apne Bante, Dukh Mein Chhod Kinare Han।
Jisko Seencha Prem Se Tune, Woh Bhi Chhoot Gaya Re, Jisko Samjha Apna Saya, Woh Bhi Rooth Gaya Re।
Sab Mati Ka Khel Jagat Men, Sach Ko Pahchano, Ek Sahara Shyam Ka Saccha, Antarman Se Mano।

Ghabrana Nahin Pyare, Ghabrana Nahin, Prabhu Ke Charanon Se Kabhi Door Jana Nahin।
Ghabrana Nahin Pyare, Ghabrana Nahin, Sacchi Bhakti Ki Dori Ko Chhodana Nahin।


Suraj Bhi to Chhip Jata Hai, Phir Prabhat Khilata Hai, Patjhad Ke Jaane Se Pahle, Mausam Rang Sajata Hai।
Kashton Ki Is Dhoop Mein Tapkar, Kundan Roop Nikhrega, Jab-Jab Tu Kamjor Padega, Madhav Haath Dharega! Madhav Haath Dharega...

Ghabrana Nahin Pyare, Ghabrana Nahin, Prabhu Ke Charanon Se Kabhi Door Jana Nahin।
Ghabrana Nahin Pyare, Ghabrana Nahin, Prabhu Kripa Ke Sae Se Muh Modna Nahin।

Jo Khoya Woh Mati Tha, Jo Paya Woh Ish-Kripa... Ghabrana Nahin Pyare... Ghabrana Nahin...
घबराना नहीं प्यारे एक सहारा श्याम का - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मुश्किल दिन भी आएँगे, तू धीरज मत खोना, अपनों को जब छूओगे, बन जाएगा माटी सोना।
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanRadha Krishna BhajanShri Radha Rani Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ghabrana Nahi Pyare Ek Sahara Shyam Ka

Mushkil Din Bhi Aayenge, Tu Dheeraj Mat Khona, Apnon Ko Jab Chhoooge, Ban Jayega Mati Sona।

Diwali ka Tayohar Hai

Diwali Ka Tayohar Hai, Jhoom Utha Sansar Hai, Khush Sabhi Parivar Hain, Avadhapuri Mein Jakar Dekho, Deepon Ki Katar Hai.....

Mahalaxmi Jaap Karo

Mahalakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam, Ashta Lakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam

Sare Mil Ke Khushiyan Manao Aai Diwali Aai

Sare Mil Ke Khushiyan Manao Aai Diwali Aai, Nacho Gao Dhoom Machao Lakshmi Ji Ghar Aai, Sare Mil Ke Khushiyan Manao Aai Diwali Aai

Aayi Gaye Raghunandan Sajwa Do Dwar Dwar

Aa Hi Gaye Raghunandan, Sajwado Dwar-Dwar,
Swarn Kalash Rakhvado, Bandhvadon Bandhan Vaar…