Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Hey Karuna Mayi Radhe Mujhe Bas Tera Sahara Hai (हे करुणा मयी राधे, मुझे बस तेरा सहारा है - भजन)


Hey Karuna Mayi Radhe Mujhe Bas Tera Sahara Hai
Hai Karuna Mayi Radhe,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai,
Apna Lo Mujhe Shyama,
Tere Bin Kaun Hamara Hai,
Tere Bin Kaun Hamara Hai,
Hai Karuna Mayi Radhe,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai ॥
Koi Kisi Ka Nahin Jahan Mein,
Jhoothi Jag Ki Aas,
Jhoothi Jag Ki Aas,
Hum Bebas Lacharon Ki Shyama,
Tum Se Yahi Abhilash,
Tum Se Yahi Abhilash,
Dinon Pe Krpa Karna,
Yahi Swabhav Tumhara Hai,
Yahi Swabhav Tumhara Hai,
Hai Karuna Mayi Radhen,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai ॥

Gahari Nadiya Nanv Purani,
Dagmag Dole Naiya,
Dagmag Dole Naiya,
Bich Bhawar Mein Aan Phasa Hoon,
Pakdo Meri Bahiyan,
Pakdo Meri Bahiyan,
Kahin Doob Na Jaoon Main,
Kishori Door Kinara Hai,
Kishori Door Kinara Hai,
Hai Karuna Mayi Radhen,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai ॥

Tere Dar Pe Jo Bhi Aae,
Unko Tum Apnati,
Unko Tum Apnati,
Gardish Ke Maro Ki Shyama,
Bigdi Baat Banati,
Bigdi Baat Banati,
Ham Jaise Adhmo Ka,
Jeevan Tumne Hi Savara Hai,
Jeevan Tumne Hi Savara Hai,
Hai Karuna Mayi Radhen,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai ॥

Chitr Vichitr Apne Karmo Se,
Mann Hi Mann Ghabrae,
Mann Hi Mann Ghabrae,
Teri Krpa Ka Le Ke Sahara,
Dwar Tumhare Aae,
Dwar Tumhare Aae,
Tere Dar Ke Siva Mera,
Kahin Nahin Aur Gujara Hai,
Kahin Nahin Aur Gujara Hai,
Hai Karuna Mayi Radhen,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी

हे करुणा मयी राधे, मुझे बस तेरा सहारा है - भजन हिन्दी में पढ़ें

हे करुणा मयी राधे, मुझे बस तेरा सहारा है, अपना लो मुझे श्यामा...
 
 
Read Also

Bhajan Radhashtami BhajanShri Radha Rani BhajanBrij BhajanChitra Vichitra BhajanJanmashtami Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Oh Pawan Putra Hanuman

Oh Pawan Putra Hanuman, Ram Ke Parama Bhatka Kahalye, Teri Mahima Sab Jag Gaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye, Oh Pawan Putra Hanuman, mRam Ke Parama Bhatka Kahalye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye, Teri Mahima Sab Jag Gaye ॥

Balaji Mujhe Apne Dar Pe Bulana

Balaji Mujhe Apne, Dar Pe Bulana, Darshan Se Naino Ki, Pyas Bujhana, Balaji Mujhe Apna, Darshan Dikhana,
Balaji Mujhe Apne, Dar Pe Bulana ॥

Kirtan Hai Veer Bajrang Ka

Kirtan Hai Veer Bajrang Ka, Nach Nach Kar Inko Mana, Tabhi To Baba Ayenge, Ram Gun Gayenge,
Kirtan Hoga Aaj, Kirtan Hoga Aaj ॥

Bajrangbali Tune Kalyug Nihaal Kar Diya

Bajarangabali Tune, Kalayug Nihaal Kar Diya, Sankat Mita Bhagaton Ke, Yun Malaamal Kar Diya,
Bajaranga Bali Tune, Kalayug Nihaal Kar Diya ॥

Karta Hai Tu Beda Paar

Koi Jab Raah Na Paye, Sharan Teri Aaye, Ki Tujhako Maan Se Manae, Karata Hai Tu Beda Paar,
Karata Hai Tu Beda Paar ॥

Karobar Mero Balaji Chalave

Karobar Mero Balaji Chalave, Meri Bailens Sheet Balaji Banave, Jime Kade Bhi Ghaton Aave Na,
Aave Na, Karobar Mero Balaji Chalave, Meri Bailens Sheet Balaji Banave ॥

Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude

Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude Hanuman Ude Udte Hi Gaye, Sab Dekh Rahe Hai Khade Re Khade

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP