Gora Dhund Rahi Parvat Pe (गौरा ढूंढ रही पर्वत पर: गौरी भजन)


Gaura Dhundh Rahi Parvat Par,
Shiv Ko Pati Banane Ko,
Pati Banane Ko, Bhole Ko,
Pati Banane Ko,
Gaura Dhundh Rahi Parvat Pe,
Shiv Ko Pati Banane Ko ॥
Na Chahiye Mujhe Mathe Ka Tika,
Mang Sajane Ko,
Hamen to Chahiye Bhola Teri Mala,
Hari Gun Gane Ko,
Gaura Dhundh Rahi Parvat Pe,
Shiv Ko Pati Banane Ko ॥

Na Chahiye Mujhe Sone Ki Nathni,
Nak Sajane Ko,
Hamen to Chahiye Bhola Teri Mala,
Hari Gun Gane Ko,
Gaura Dhundh Rahi Parvat Pe,
Shiv Ko Pati Banane Ko ॥

Na Chahiye Mujhe Gale Ka Harva,
Gala Sajane Ko,
Hamen to Chahiye Bhola Teri Mala,
Hari Gun Gane Ko,
Gaura Dhundh Rahi Parvat Pe,
Shiv Ko Pati Banane Ko ॥

Na Chahiye Mujhe Sone Ka Kangna,
Hath Sajane Ko,
Hamen to Chahiye Bhola Teri Mala,
Hari Gun Gane Ko,
Gaura Dhundh Rahi Parvat Pe,
Shiv Ko Pati Banane Ko ॥

Na Chahiye Mujhe Resham Ki Sari,
Tan Pe Sajane Ko,
Hamen to Chahiye Bhola Teri Mala,
Hari Gun Gane Ko,
Gaura Dhundh Rahi Parvat Pe,
Shiv Ko Pati Banane Ko ॥

Na Chahiye Mujhe Sone Ki Kardhani,
Kamar Sajane Ko,
Hamen to Chahiye Bhola Teri Mala,
Hari Gun Gane Ko,
Gaura Dhundh Rahi Parvat Pe,
Shiv Ko Pati Banane Ko ॥

Gaura Dhundh Rahi Parvat Par,
Shiv Ko Pati Banane Ko,
Pati Banane Ko, Bhole Ko,
Pati Banane Ko,
Gaura Dhundh Rahi Parvat Pe,
Shiv Ko Pati Banane Ko ॥
गौरा ढूंढ रही पर्वत पर: गौरी भजन - हिन्दी में पढ़ें
गौरा ढूंढ रही पर्वत पर, शिव को पति बनाने को, पति बनाने को, भोले को,..
Bhajan Gauri Pujan BhajanVivah BhajanShadi BhajanShiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanGauri Shankar BhajanGauri Bhajan

Other Popular Gora Dhund Rahi Parvat Pe Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Gopi Geet - Jayati Te Dhikam Janmana

Jayati Tedhikan Janmana Vrajah Shrayat Indira Shashvadatr Hi । Dayit Drshyatan Dikshu Tavaka Stvayi Dhrtasavastvan Vichinvate ॥

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki, Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki, Phoolon Ki Barish Yaha Pe Ho Rahi, Krupa Ho Gae Aaj Shree Bhagvan Ki, Daal Rahi Varmala Ab To Janaki, Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥

Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol

Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol, Mat Bhaiya Ko Rula Re Bol kuch Bol, Bhaiya Bhaiya Kaha Ke,Bhaiya Bhaiya Kaha Ke, Rash Prano mein Ghol, Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..