Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Bhajan: Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar (कुमार मैने देखे, सुंदर सखी दो कुमार - भजन)


Bhajan: Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar
Kumar Maine Dekhe,
Sundar Sakhi Do Kumar ।
Kumar Maine Dekhe,
Sundar Sakhi Do Kumar ।
Hathon Mein Phoolon Ka Dauna Bhi Sohe
Sundar Gale Mein Sohe Haar,
Kumar Maine Dekhe ।
॥ Kumar Maine Dekhe, Sundar… ॥

Sundar Salaune Banke Rasile
Moh Lie Nar Naari,
Kumar Maine Dekhe ।
॥ Kumar Maine Dekhe, Sundar… ॥

Muniyon Ka Yagyan Inhonne Rachaya
Deeno Ki Sunte Pukar,
Kumar Maine Dekhe ।
॥ Kumar Maine Dekhe, Sundar… ॥

Bhakton Ke Jeevan, Santon Ke Pyare
Sab Ke Hain Pran Aadhar,
Kumar Maine Dekhe ।
॥ Kumar Maine Dekhe, Sundar… ॥

Karuna Ke Sagar, Dashrath Ke Dulare
Sab Inse Karte Hain Pyar,
Kumar Maine Dekhe ।
॥ Kumar Maine Dekhe, Sundar… ॥

Pal Bhar Mein Apne, Charanon Ki Raj Se
Naari Ahilya Di Taar,
Kumar Maine Dekhe ।
॥ Kumar Maine Dekhe, Sundar… ॥

Kumar Maine Dekhe,
Sundar Sakhi Do Kumar ।
Kumar Maine Dekhe,
Sundar Sakhi Do Kumar ।

कुमार मैने देखे, सुंदर सखी दो कुमार - भजन हिन्दी में पढ़ें

कुमार मैने देखे, सुंदर सखी दो कुमार। हाथों में फूलों का दौना भी सोहे, सुंदर गले में सोहे हार, कुमार मैने देखे...
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navami BhajanRam Laxman BhajanDigital Baba BhajanSwami Ram Shankar BhajanSakhi Samvad Bhajan

Other Popular Bhajan: Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar Video

Bhajan: Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar By Shri Prembhushan Ji

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ode Lal Lal Chunari Singh Pe Sawari Maa Aaj Aai Re

Ode Lal Lal Chunari Singh Pe Sawari Maa Aaj Aai Re, Dekho Maai Lage Pyari Singh Pe Sawari Maa Aaj Aai Re, Maa Ke Mathe Pe Kum Kum Ki Bindiya Hai Sohe, Gale Nibuvan Ki Mala Hai Maa Ne Piroye, Ode Lal Lal Chunari Singh Pe Sawari Maa Aaj Aai Re ॥

Bin Pani Ke Naav

Bin Paani Ke Naav Khe Rahi Hai, Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥

Mehek Utha Ghar Baar Meri Maa Ek Tere Aa Jane Se

Mehek Utha Ghar Baar Meri Maa, Ek Tere Aa Jane Se, Is Tarah Hi Aate Rehna, Kisi Na Kisi Bahane Se,
Kisi Na Kisi Bahane Se Maa, Kisi Na Kisi Bahane Se, Mehek Utha Ghar Baar Meri Maa, Ek Tere Aa Jane Se, Is Tarah Hi Aate Rehna, Kisi Na Kisi Bahane Se ॥

O Maiya Tera Mujhko Deedar Ho Jaye

O Maiya Tera Mujhko, Deedar Ho Jaye, Ujda Chaman Phir Se, Mera Gulzar Ho Jaye ॥

Maiya Ye Jeevan Hamara Aapke charno Me Hai

Maiya Ye Jeevan Hamara, Aapke charno Me Hai, Din Dukhiyo Ka Gujara, Aapke charno Me Hai, Maiya Ye Jivan Hamara, Aapke charno Me Hai ॥

Sab Milkar Mangal Gao Aaj Hai Jagrata

Sab Milkar Mangal Gao, Aaj Hai Jagrata, Tum Prem Se Maa Ko Manao, Aaj Hai Jagrata ॥

Odh Chunariya Maiya Lal Chali

Laal Rang Ki Laal Chunariyan, Laal Hai Tere Lae, Rang Laal Karta kamal, Jo Tere Maan Ko Bhaye,
Odh Chunariya Maiya Lal Chali, Sidh Sawari Pe hai Lagati Bhali. Piche Piche Hai Bhero Naath Chale, Aage Chale Hai Veer Bajrang Bali, Odh Chunariya Maiya Lal Chali, Sidh Sawari Pe hai Lagati Bhali ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP