Hai Sukhi Mera Parivaar Maa Tere Karan (है सुखी मेरा परिवार, माँ तेरे कारण: भजन)


Hai Sukhi Mera Parivar,
Maan Tere Karan,
Tere Karan Tere Karan,
Maiya Bas Tere Karan,
Mere Ghar Mein Mauj Bahar,
Maan Tere Karan,
Hain Sukhi Mera Parivar,
Maan Tere Karan ॥
Maiya Meri Ye Phulwari,
Tum Hi Iski Paalanhari,
Mera Sukhmay Hai Sansar,
Maan Tere Karan,
Hain Sukhi Mera Parivar,
Maan Tere Karan ॥

Phool Khile Mere Aangan Mein,
Pale Bade Tere Aanchal Mein,
Mera Bhara Hua Bhandar,
Maan Tere Karan,
Hain Sukhi Mera Parivar,
Maan Tere Karan ॥

Saump Diya Maan Tere Hawale,
‘Urmil’ Ko Maan Tu Hi Sambhale,
Mujhe Mila Tera Darbaar,
Maan Tere Karan,
Hain Sukhi Mera Parivar,
Maan Tere Karan ॥

Hai Sukhi Mera Parivar,
Maan Tere Karan,
Tere Karan Tere Karan,
Maiya Bas Tere Karan,
Mere Ghar Mein Mauj Bahar,
Maan Tere Karan,
Hain Sukhi Mera Parivar,
Maan Tere Karan ॥
है सुखी मेरा परिवार, माँ तेरे कारण: भजन - हिन्दी में पढ़ें
है सुखी मेरा परिवार, माँ तेरे कारण, तेरे कारण तेरे कारण, मैया बस तेरे कारण, मेरे घर में मौज बहार, माँ तेरे कारण, हैं सुखी मेरा परिवार, माँ तेरे कारण ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan

Other Popular Hai Sukhi Mera Parivaar Maa Tere Karan Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Baba Baijnath Hum Aael Chhi Bhikhariya

Baba Baijnath Hum Aael Chhi Bhikhariya, Ah Ke Duariya Na, Baba Baidyanath Hum Ayal Chhi, Bhikhariya Ahaan Ke Duariya Na ॥

Deedar Karne Aaya Tere Dwar

Alakha Jaga Ke Jogi, Aaya Tere Dwar, Aaya Tere Dwar Maiya, Aaya Tere Dwar, Kanhaiya Ka Deedar,
Karne Aaya Tere Dwar ॥

Koi Devta Nahi Hai Bhole Nath Ki Tarah

Koi Devta Nahi Hai, Bhole Nath Ki Tarah, Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah, Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥

Rajdulaari: Tu Mahalon Main Rahne Wali

Tu Mahalon Mein Rahne Wali, Main Jogi Jatta Dhari Hun, Tera Mera Mel Mile Na, Rahta Atal Atari Hun