Hanuman Ne Kar Diya Kaam Chutki Bajay Karke (हनुमान ने कर दिया काम, चुटकी बजाई करके: भजन)


Sare Haar Gaye Jor Lagae Karke,
Hanuman Ne Kar Diya Kaam,
Chutki Bajai Karake ॥
Sita Ko Ravan Har Laaya,
Chintit The Shree Ram,
Saat Samandar Langhe Kaise,
Kaun Kare Ye Kaam,
Siya Ki Sudh Lyaaya,
Lanka Jalai Karake,
Hanuman Ne Kar Diya Kaam,
Chutki Bajai Karake ॥

Shakti Baan Lagi Lakshman Ko,
Ghabaraye Shree Ram,
Kaun Hai Aisa Veer,
Bachae Lakshman Ji Ke Praan,
Bachaaya Lakshman Ko,
Sanjeevan Laye Karake,
Hanuman Ne Kar Diya Kaam,
Chutki Bajai Karake ॥

Bhakton Ka Ye Sankat Kaate,
Sankat Mochan Naam,
‘Saurabh Madhukar’ Bajarangi Ka,
Salasar Mein Dhaam,
Apane Bhakto Ko,
Gale Se Lagae Karake,
Hanuman Ne Kar Diya Kaam,
Chutki Bajai Karake ॥

Sare Haar Gaye Jor Lagae Karke,
Hanuman Ne Kar Diya Kaam,
Chutki Bajai Karake ॥
हनुमान ने कर दिया काम, चुटकी बजाई करके: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सारे हार गए जोर लगाई करके, हनुमान ने कर दिया काम, चुटकी बजाई करके ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Raghupati Raghav Raja Ram

Raghupati Raghava RajaRam, Patita Paavana SitaRam ॥ Sunder Vigraha MeghaShyam, Ganga Tulsi Shalagram ॥

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Maa Tere Lal Bulaye Aaja

Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja, Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja ॥