Har Baar Tere Dar Pe Nav Geet Sunayenge (हर बार तेरे दर पे, नव गीत सुनाएंगे - भजन)


Har Baar Tere Dar Pe,
Nav Geet Sunayenge,
Dhandhan Wali Sun Le,
Teri Mahima Gayenge,
Har Baar Tere Dar Pe,
Nav Geet Sunayenge ॥
Tujhse Milne Se Hame,
Rokogi Bhala Kese,
Kadamon Mein Lipat Jaye,
Vrkshon Se Lata Jaise,
Sapnon Mein Mili Maa Ko,
Ham Samne Payenge,
Har Baar Tere Dar Pe,
Nav Geet Sunayenge ॥

Hogi Trushna Bhari,
Pyasi In Aankhiyan Ki,
Maathe Se Laga Dena,
Dhuli Tere Charan Ki,
Charanamrut Lekar Maa,
Ham Bhab Tar Jayenge,
Har Baar Tere Dar Pe,
Nav Geet Sunayenge ॥

Sadiyon Se Sada Humne,
Teri Aash Lagae Hai,
Pagal Manva kehta,
Maa Tumko Bhulae Hai,
Paakar Ke Tere Darshan,
Maan Ko Samjhayegi,
Har Baar Tere Dar Pe,
Nav Geet Sunayenge ॥

Chunkar Ban Upban Se,
Pushpon Ki Madhur Ladiyan,
Ek Haar Banaya Hai,
Biti Hai Kai Ghadiyan,
Yah Pushp Bhajan Maala,
Tujhe Bhet Chadhaenge,
Har Baar Tere Dar Pe,
Nav Geet Sunayenge ॥

Har Baar Tere Dar Pe,
Nav Geet Sunayenge,
Dhandhan Wali Sun Le,
Teri Mahima Gayenge,
Har Baar Tere Dar Pe,
Nav Geet Sunayenge ॥
हर बार तेरे दर पे, नव गीत सुनाएंगे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हर बार तेरे दर पे, नव गीत सुनाएंगे, ढांढण वाली सुन ले, तेरी महिमा गाएंगे, हर बार तेरे दर पें, नव गीत सुनाएंगे ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Narayani Sharanam

Maan Se Bhakti Hai, Maan Se Shakti Hai, Maan Se Mukti Hai, Karta Jo Maan Ka Sumiran...

Maiya Tere Bhakto Ko Tera Hi Sahara Hai

Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai, Tere Bina Is Jag Mein, Koi Na Hamara Hai, Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai ॥

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..