Inke Maan Mein Hai Ram Base Inko To Kisi Ki Khabar Nahi (इनके मन में है राम बसे, इनको तो किसी की खबर नहीं: भजन)


Inke Maan Main Hai Ram Base,
Inko To Kisiki Khabar Nahi ॥
Shree Ram Ki Puja Karte Hai,
Shree Ram Ki Sewa Karte Hai,
Shree Ram Ki Bhakti Main Dube,
Inpare To Kisi Ka Ashar Nahi,
Inke Maan Main Hai Ram Base,
Inko To Kisiki Khabar Nahi ॥

Shree Ram Ki Dhun Main Rahate Hai,
Shree Ram Ki Baten Karte Hai,
Shree Ram Prabhu Ke Siwa Jag Main,
Inko Aata Kuch Najar Nahi,
Inke Maan Main Hai Ram Base,
Inko To Kisiki Khabar Nahi ॥

Shree Ram Ki Karake Ye Bhakti,
Pae Hai Isane Ye Shakti,
Jab Tak Na Kaam Prabhu Ka Ho,
Tab Tak To Inako Sabar Nahin,
Inke Maan Main Hai Ram Base,
Inko To Kisiki Khabar Nahi ॥

Jahan Jahan Jaye Ram Prabhu,
Wahan Wahan Pe Jaye Hanumana,
Kahe ‘Shyaam’ Ram Ka Sevak Hai,
Inako To Kisi Ki Phikar Nahin,
Inke Maan Main Hai Ram Base,
Inko To Kisiki Khabar Nahi ॥

Inke Maan Main Hai Ram Base,
Inko To Kisiki Khabar Nahi ॥
इनके मन में है राम बसे, इनको तो किसी की खबर नहीं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
इनके मन में है राम बसे, इनको तो किसी की खबर नहीं ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Shankar Tum Kailashpati

Shiv Shankar Tum Kailashpati, Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi, Shiv Shankar Tum Kailashpati, Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥

Ram Ka Rat Jaga, Rat Jaga Ram Ka

Ram Ka Rat Jaga, Rat Jaga Raam Ka, Gao Badhai Shubh Ghadi Aayi, Palan Palan Nisadin Ho Raha Sumiran..
Ek Hi Naam Ka

Main Do-Do Maa Ka Beta Hun

Main Do-do Maa Ka Beta Hun, Dono Maiya Badi Pyari Hai । Ek Mata Meri Janani Hai, Ek Jag Ki Palanhari Hai ॥

Tere Charno Mein Sir Ko Jhukata Rahu

Tere Charanon Main Sar Ko, Jhukata Rahun, Tu Bulata Rahe, Aur Main Aata Rahun ॥

Laut Ke Aaja Nand Ke Dulare

Laut Ke Aaja Nand Ke Dulare, Ummid Lagaye, Na Jaane Mera, Laala Kab Aaye ॥