Jab Bhak Bulate Hain Hari Daud Ke Aate Hain (जब भक्त बुलाते हैँ हरि दौड़ के आते हैँ - भजन)


Jab Bhakt Bulate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain ॥
Vo to Din Aur Duhkhion Ko ॥
Aa Ke Gale Lagate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain,
Jab Bhakt Bulate Hain...
Droupadi Ne Jab, Unhen Pukara, Daude Daude Aa Gaye ।
Bhari Sabha Mein, Chir Badha Ke, Uski Laaj Bacha Gaye ।
Vo Bahut Dayalu Hain, Vo Daya Ke Sagar Hain,
Vo Chir Badhate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain,
Jab Bhakt Bulate Hain...

Arjun Ne Jab, Unhen Pukara, Saarthi Banake Aa Gaye ।
Gita Ka, Updesh Suna Ke, Usaka Bharam Mita Gaye ॥
Vo Gyan Sikhate Hain, Vo Bharam Mitate Hain,
Vo Gale Lagate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain,
Jab Bhakt Bulate Hain...

Dhanne Ne Jab, Unhen Pukara, Thakur Banake Aa Gaye ।
Patthron Mein, Darsh Dikha Ke, Prem Ka Bhog Laga Gaye ॥
Vo Darsh Dikhate Hain, Vo Hal Chalate Hain,
Vo Maan Badhate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain,
Jab Bhakt Bulate Hain...

Mitra Suddama, Dware Aaye, Daude Daude Aa Gaye ।
Do Muthi, Sattoo Ke Badle, Uska Mahal Bana Gaye ॥
Vo Farz Nibhate Hain, Vo Gale Lagate Hain,
Vo Mahal Banate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain,
Jab Bhakt Bulate Hain...
जब भक्त बुलाते हैँ हरि दौड़ के आते हैँ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जब भक्त बुलाते हैँ, हरि दौड़ के आते हैँ ॥ वो तो दीन और दुःखीओं को ॥
Bhajan Hari Bhajan BhajanShri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Krishna BhajanBhagwan Shiv BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVishnu Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Tujhko Jeevan Mila Hai Anmol

Shubh Karmo Ka Khata Khol, O Bande, Radhe Radhe Bol, Tujhko Jeevan Mila Han, Anmol, O Bande, Radhe Radhe Bol।