Jag Ke Swami Ko Shree Ram Kehte Hain (जग के स्वामी को श्री राम कहते है: भजन)


Jag Ke Swami Ko Shree Ram Kahate Hai,
Sankat Jo kate Unhai Hanuman Kahate Hai ॥
Jab Duniya Wale Tumhai Thukraye,
To Balaji Ka Hi Nam Bachaye,
Jo Koi Apana To Thokar Lagaye,
Bajrangi Baba Hi Paar Lagaye,
Sachhe Maan Se Jo Inka Dhyan Karte Hai,
Sankat Jo Kate Unhai Hanuman Kahate Hai ॥

Duniya Ke Sare Kaam Inke Hai Bas Mein,
Bajrang Jo Chahe Wo Ho Jaye Khyan Mein,
Ashta Siddhi Naubidhi Ke Data,
Bal Buddhi Vidya Aur Bhagy Vidhata,
Vedon Ke Saare Ye Gyaan Kahate Hai,
Sankat Jo Kate Unhai Hanuman Kahate Hai ॥

Nirdhan Ko Mere Baba Dhanwan Karte,
Nirbal Ko Mere Baba Balwan Karte,
Tan Ki Pida Sare Rog Mitate,
Ataki Bhavar Mein Naiya Paar Lagaate,
Inake Maan Mandir Mein Shree Ram Rahate Hai,
Sankat Jo Kate Unhai Hanuman Kahate Hai ॥

Jag Ke Swami Ko Shree Ram Kahate Hai,
Sankat Jo kate Unhai Hanuman Kahate Hai ॥
जग के स्वामी को श्री राम कहते है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जग के स्वामी को श्री राम कहते है, संकट जो काटे उन्हें हनुमान कहते है ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Shankar Tum Kailashpati

Shiv Shankar Tum Kailashpati, Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi, Shiv Shankar Tum Kailashpati, Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥

Ram Ka Rat Jaga, Rat Jaga Ram Ka

Ram Ka Rat Jaga, Rat Jaga Raam Ka, Gao Badhai Shubh Ghadi Aayi, Palan Palan Nisadin Ho Raha Sumiran..
Ek Hi Naam Ka

Main Do-Do Maa Ka Beta Hun

Main Do-do Maa Ka Beta Hun, Dono Maiya Badi Pyari Hai । Ek Mata Meri Janani Hai, Ek Jag Ki Palanhari Hai ॥

Tere Charno Mein Sir Ko Jhukata Rahu

Tere Charanon Main Sar Ko, Jhukata Rahun, Tu Bulata Rahe, Aur Main Aata Rahun ॥

Laut Ke Aaja Nand Ke Dulare

Laut Ke Aaja Nand Ke Dulare, Ummid Lagaye, Na Jaane Mera, Laala Kab Aaye ॥