Jis Par Ho Hanuman Ki Kripa (जिस पर हो हनुमान की कृपा: भजन)


Jis Par Ho Hanuman Ki krpa,
Taqdir Ka Dhani Wo Nar Hai,
Rakhwala Ho Maruti Nandan,
Phir Kis Baat Ka Dar Hai,
Bhajan Pawan Sut ka KIjiye,
Naam Amrut Ka Pyala Pijiye ॥
Shish Mukut Kaan Mein Kundal,
Laal Sindur Se Kaya,
Laal Langote Vala Hanumat,
Maa Anjani Ka Jaya,
Naash Kare Dushton Ka,
Bhakton Ka Bhay Leta Har Hai,
Rakhwala Ho Maruti Nandan,
Phir Kis Baat Ka Dar Hai,
Bhajan Pawan Sut ka KIjiye,
Naam Amrut Ka Pyala Pijiye ॥

Aae Ghadi Jab Jab Dubidha Ki,
Ram Ke Kaam Banaye,
Maat Siya Bardan Diya,
Sankat Mochan Kahlaye,
Puja Mangal Sani Kare,
Mangal Hota Us Ghar hai,
Rakhwala Ho Maruti Nandan,
Phir Kis Baat Ka Dar Hai,
Bhajan Pawan Sut ka KIjiye,
Naam Amrut Ka Pyala Pijiye ॥

Bal Dete Ho Nirbal Ko,
Nirdhan Ko Maya Dete,
Rog Kasht Katate Rogi Ko,
Nirmal Kaaya Dete,
‘Lakhkha’ Ki Bhi Sudh Lena,
Charanon Ka ‘Saral’ Chaakar Hai,
Rakhwala Ho Maruti Nandan,
Phir Kis Baat Ka Dar Hai,
Bhajan Pawan Sut ka KIjiye,
Naam Amrut Ka Pyala Pijiye ॥

Jis Par Ho Hanuman Ki krpa,
Taqdir Ka Dhani Wo Nar Hai,
Rakhwala Ho Maruti Nandan,
Phir Kis Baat Ka Dar Hai,
Bhajan Pawan Sut ka KIjiye,
Naam Amrut Ka Pyala Pijiye ॥
जिस पर हो हनुमान की कृपा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जिस पर हो हनुमान की कृपा, तकदीर का धनी वो नर है, रखवाला हो मारुती नंदन, फिर किस बात का डर है, भजन पवन सुत का कीजिए, नाम अमृत का प्याला पीजिए ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mehandipur Ka Ye Bajrang Bala Bada

Mehandipur Ka Ye Bajarang Bala Bada, Isake Dar Se Na Koi Bhi Khali Gaya, Jo Aaya Muraden Mili Hai Use,
Isake Dar Se Na Koi Sawali Gaya, Mehandipur Ka Ye Bajarang Bala Bada ॥

Bolo Sada Jaikar Pawansut Mahabali Ki

Bolo Sada Jaykara, Pabansut Mahabali Ki ॥

Veer Bajrangbali Mujhe Tera Hi Sahara Hai

Veer Bajarangabali, Mujhe Tera Sahara Hai, Maa Anjani Ke Laal, Tune Laakhon Ko Tara Hai, Veer Bajarangabali, Mujhe Tera Sahara Hai ॥

Hai Diwane Jo Pyare Hanuman Ke

Hai Diwane Jo Pyare Hanuman Ke, Hai diwane Jo Pyare Hanuman Ke, Wahi Bolenge Jai Jai Jai Siyaram, Wahi Bolenge Jai Jai Jai Siyaram, Hai Diwane Jo Pyare Hanuman Ke ॥

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...