Jisne Bhi Maa Ki Chaukhat Pe Sar Ko Jhuka Liya (जिसने भी माँ की चौखट पे, सर को झुका लिया: भजन)


Jisne Bhi Maa Ki Chaukhat Pe,
Sar Ko Jhuka Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya ॥
Kaila Karoli Vali Maa,
Mamta Ki Khan Hai,
Mamta Ki Khan Hai,
Maiya Ke Dar Pe Jhuk Raha,
Sara Jahan Hai,
Sara Jahan Hai,
Jisne Bhi Jholi Phelae,
Usne Hi Pa Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya ॥

Nau Niddh Asht Siddh Ki,
Data Dayali Hai,
Data Dayali Hai,
Ye Hi Hai Durga Chamunda,
Ye Hi Kali Hai,
Ye Hi Kali Hai,
Rota Gaya Jo Dwar Par,
Usko Hansa Diya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya ॥

Kalayug Mein Kaila Maiya Ka,
Danka Hai Charo Aur,
Danka Hai Charo Aur,
Charanon Ka Ban Ja ‘Bavara’,
Hogi Krupa Ki Kaur,
Hogi krupa Ki Kaur,
‘Chokhani’ Ne Bhi Bhajano Se,
Maa Ko Rijha Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya ॥

Jisne Bhi Maa Ki Chaukhat Pe,
Sar Ko Jhuka Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya ॥
जिसने भी माँ की चौखट पे, सर को झुका लिया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जिसने भी माँ की चौखट पे, सर को झुका लिया, करके दया भवानी ने, बाहों में उठा लिया, करके दया भवानी ने, बाहों में उठा लिया ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Main Too Aai Vrindavan Dham Kishori Tere Charanan Main

Main to Aai Vrindavan Dham Kishori Tere Charnan Mein । Kishori Tere Charanan Mein,..

Karke Isharo Bulaye Gayi Re

Bhakti Bharat is bringing you a devotional song cherished by Indresh-ji; here are the lyrics.. karke isharo bulaye gai re, barsane ki chhori radha gori gori

Naam Meri Radha Rani Ka Jis Jis NeGaya Hai

Naam Meri Radha Rani Ka Jis Jis Ne Gaya Hai, Banke Bihari Ne Use Apana Banaya Hai, Jai Radhe Jai Radhe Jai Shree Radhe Bolo Jai Radhe ॥

Basale Maan Mandir Me Ram

Basale Man Mandir Mein Ram, Banenge Bigde Tere Kaam, Basalen Man Mandir Mein Ram, Basalen Man Mandir Mein Ram ॥

O Ram Ji Tere Bhajan Ne Bada Sukh Dina

O Ramji Tere Bhajan Ne, Bada Sukh Dina, Tere Bhajan Ne, Bada Sukh Dina, Ye Duniya Diwani, Do Din Ki Kahani, Pal Do Pal Ka Hai Jina, Bada Sukh Dina, Tere Bhajan Ne, Bada Sukh Dina ॥