Kabhi Fursat Ho To Jagdambe (कभी फुर्सत हो तो जगदम्बे - भजन)


Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥Na Chhatr Bana Saka Sone Ka,
Na Chunri Ghar Mere Taaron Jadi ।
Na Pede Barphi Mewa Hai Maa,
Bas Shraddha Hai Nain Bichhaye Khade ॥
Iss Shraddha Ki Rakh Lo Laaj Hai Maa,
Is Vinti Ko Na Thukra Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।

Jis Ghar Ke Diye Main Tel Nahin,
Wahan Jot Jagaon Kaise ।
Mera Khud Hi Bishona Darati Maa,
Teri Chonki Lagaoon Mai Kaise ॥
Jahan Mai Baitha Wahi Baith Ke Maa,
Bachchon Ka Dil Bahala Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।

Tu Bhagya Banaane Wali Hai,
Maa Mai Takdeer Ka Mara Hoon ।
Hai Daati Sambhaal Bhikari Ko,
Aakhir Teri Aankh Ka Tara Hoon ॥
Mai Doshi Tu Nirdosh Hai Maa,
Mere Doshon Ko Tu Bhula Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥
कभी फुर्सत हो तो जगदम्बे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कभी फुर्सत हो तो जगदम्बे, निर्धन के घर भी आ जाना। जो रूखा सूखा दिया हमें...
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanLakha BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Poojan Gauri Chali Siya Pyari

Poojan Gauri Chali Siya Pyari, Sang Sakhin Ke Janak Nandini, Chali Mudit Manhari

Sita Ram Sita Ram Sita Ram Kahiye

Sita Raam Sita Raam, Sitaraam Kahiye, Jaahi Vidhi Raakhe Raam, Taahi Vidhi Rahiye ।

Le Chal Apni Nagariya, Avadh Bihari Sanvariya

Le Chal Apni Nagariya, Awadh Bihari Sanwariyan । Awadh Bihari Sanwariya, Len Chal Apni Nagariya ।

Jo Prem Gali Me Aaye Nahi

Jo Prem Gali Mein Aaye Nahin, Priyatam Ka Thikana Kya Jane

Ghar Aaye Ram Lakhan Aur Sita

Ghar Aaye Ram Lakhan Aur Sita, Ayodhya Sundar Saj Gayi Re, Sundar Saj Gayi Re Ayodhya...