Kah Kar To Dekh Maa Se Dukh Dard Tere Dil Ke (कहकर तो देख माँ से, दुःख दर्द तेरे दिल के: भजन)


Kah Kar To Dekh Maa Se,
Dukh Dard Tere Dil Ke,
Ye Gale Se Laga Legi,
Tasvir Se Nikal Ke,
Ye Gale Se Laga Legi,
Tasvir Se Nikal Ke ॥
Meri Maa Ye Bhola Maan,
Daya Karuna Ka Hai Sangam,
Ganga Ki Tarah Hai Pawan,
Ye Maa Ka Pyar Apnapan,
Tal Jayegi Musibat,
Ek Baar Maa Se Mil Ke,
Ye Gale Se Laga Legi,
Tasvir Se Nikal Ke ॥

Duniya Main Kahi Na Dekha,
Hai Maa Ka Pyar Asa,
Tadap Uthata Hai Dil Uska,
Kahi Par Jo Laal Hai Rota,
Phat Jata Hai Kaleja,
Ankho Se Ansu Chalke,
Ye Gale Se Laga Legi,
Tasvir Se Nikal Ke ॥

Kahata ‘Sonu’ Gar Maano,
Kahi Bhatko Na Diwano,
Hai Jag Janani Yahi Jano,
Tum Iski Prit Pehchano,
Chahe To Pal Main Teri,
Maiya Taqdir Badal De,
Ye Gale Se Laga Legi,
Tasvir Se Nikal Ke ॥

Kah Kar To Dekh Maa Se,
Dukh Dard Tere Dil Ke,
Ye Gale Se Laga Legi,
Tasvir Se Nikal Ke,
Ye Gale Se Laga Legi,
Tasvir Se Nikal Ke ॥
कहकर तो देख माँ से, दुःख दर्द तेरे दिल के: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कहकर तो देख माँ से, दुःख दर्द तेरे दिल के, ये गले से लगा लेगी, तस्वीर से निकल के, ये गले से लगा लेगी, तस्वीर से निकल के ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Tere Dar Di Paudiyan Maa

Is Baar Navrate Maan, Tere Dar Te Manavange, Teri Dar Di Paudiyan Maa Aisi Chumde Aavange...