Kai Janmo Se Bula Rahi Hun (कई जन्मों से बुला रही हूँ - भजन)


Kai Janmon Se Bula Rahi Hun,
Koi to Rishta Jarur Hoga,
Nazron Se Nazren Mila Bhi Na Paye,
Meri Nazar Ka Kusoor Hoga ।
Kai Janmon Se Bula Rahi Hun,
Koi to Rishta Jarur Hoga ॥
Tum Hi to Mere Maat Pita Ho,
Tum Hi to Mere Bandhu Sakha Ho,
Kitane Nate Tum Sang Jode,
Koi to Rishta Jarur Hoga ।
Kai Janmon Se Bula Rahi Hun,
Koi to Rishta Jarur Hoga ॥

Tum Hi to Meri Atma Ho,
Tum Hi to Mere Parmatma Ho,
Mujhi Mein Rehkar Mujhi Se Parda,
Parda Hatana Jarur Hoga ।
Kai Janmon Se Bula Rahi Hun,
Koi to Rishta Jarur Hoga ॥

Kabhi Bulate Ho Vrindavan Mein,
Kabhi Bulate Ho Madhuban Mein,
Apne Ghar Mein Roj Bulate,
Mere Ghar Aana Jarur Hoga ।
Kai Janmon Se Bula Rahi Hun,
Koi to Rishta Jarur Hoga ॥

Ankhon Mein Bas Gai Tasveer Teri,
Dil Mera Ban Gaya Jagir Teri,
Daas Ki Vinti Tumhare Aage,
Darsh Dikhana Jarur Hoga ।
Kai Janmon Se Bula Rahi Hun,
Koi to Rishta Jarur Hoga ॥

Kai Janmon Se Bula Rahi Hun,
Koi to Rishta Jarur Hoga,
Nazron Se Nazren Mila Bhi Na Paye,
Meri Nazar Ka Kusoor Hoga ।
Kai Janmon Se Bula Rahi Hun,
Koi to Rishta Jarur Hoga ॥
कई जन्मों से बुला रही हूँ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कई जन्मों से बुला रही हूँ, कोई तो रिश्ता जरूर होगा, नजरों से नजरें मिला भी ना पाए..
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanNikunj Kamra Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mann Me to Aave Bhajan Banau

Mann Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Baalasa, Bhajan Bana Ke Baalasa Tujhko Rijhaun..

Bajrangbali Ki Shan Badi

Bajrangbali Ki Shan Badi, Ati Sundar Hai Hanumangadhi । Shri Ram Gareeb Navaj Hai, Hanumat Kalyug Ke Raja Hai

Bajrangbali Vo

Bajrangi Bali Vo,Bali Ma Bali Chir Chhati Dekhaye Na ll

Bajrangi Maharaj Tumhe Bhakt Bulate Hai

Bajrangi Maharaj, Tumhai Bhakt Bulate Hai, Tumhai Shish Jhukate Hai ॥