Kaise Bhulunga Maiya Main Tera Upakaar (कैसे भूलूंगा मैया मैं तेरा उपकार: भजन)


Kaise Bhulunga Maiya Main Tera Upakaar,
Rnee Rahega Tera,
Rnee Rahega Tera Haradam Mera Parivar,
Kaise bhulunga Maiya Main Tera Upakar,
Kaise bhulunga Maiya Main Tera Upakar ॥
Ghoom Rahi Aankhon Ke Aage,
Bite kal Ki Tasviren,
Nakami Aur Mayusi,
Sangi Saathi The Mere,
Dar Dar Bhatak Raha Tha,
Dar Dar Bhatak Raha Tha,
Main Bebas Aur Lachar,
Kaise bhulunga Maiya Main Tera Upakar,
Kaise bhulunga Maiya Main Tera Upakar ॥

Kabhi Kabhi To Sochun Kese,
Kheta Tuti Naiya Ko,
Agar Nahi Banti Tum Maiya,
Aakar Meri Khivaiya Ko,
Dub Hi Jati Meri,
Maa Dub Hi Jati Meri,
Ye Naiya To Majhdhar,
Kaise bhulunga Maiya Main Tera Upakar,
Kaise bhulunga Maiya Main Tera Upakar ॥

Bojh Tere Ehsaano ka,
‘Sonu’ Par Itana Jyada Hai,
Kam Karane Ki Koshish Mein Ye,
Aur Bhi Badta Jata Hai,
Maa Utar Na Paye Karja,
Kabhi Utar Na Paye Karja,
Chahe Tu Janma Hajar,
Kaise bhulunga Maiya Main Tera Upakar,
Kaise bhulunga Maiya Main Tera Upakar ॥

Kaise Bhulunga Maiya Main Tera Upakaar,
Rnee Rahega Tera,
Rnee Rahega Tera Haradam Mera Parivar,
Kaise bhulunga Maiya Main Tera Upakar,
Kaise bhulunga Maiya Main Tera Upakar ॥
कैसे भूलूंगा मैया मैं तेरा उपकार: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कैसे भूलूंगा मैया मैं तेरा उपकार, ऋणी रहेगा तेरा, ऋणी रहेगा तेरा हरदम मेरा परिवार, कैसे भूलूँगा मैया मैं तेरा उपकार, कैसे भूलूँगा मैया मैं तेरा उपकार ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan

Other Popular Kaise Bhulunga Maiya Main Tera Upakaar Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye