Kanhaiya Har Ghadi Mujhko Tumhari Yaad Aati Hai (कन्हैया हर घडी मुझको, तुम्हारी याद आती है - भजन)


Kanhaiya Har Ghadi Mujhko,
Tumhari Yaad Aati Hai,
Mujhe Mohan Rulati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai,
Mujhe Mohan Rulati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai ॥
Tumhari Yaad Mein Mohan,
Na Humko Neend Aati Hai,
Ye Duniya Ki Chamak Pyaare,
Hamen Bhi Na Suhaati Hai,
Mere Dil Se Mere Mohan,
Sada Itni Si Aati Hai,
Kanhaiya Ki Hoon Main Jogan,
Mujhe Itna Batati Hai,
Tujhe Hardam Bulati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai,
Mujhe Mohan Rulati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai ॥

Jo Kuchh Bhi Tha Diya Tumne,
Wahi Tumko Chadhate Hai,
Hai Meri Aankh Mein Aansu,
Yahi Tumko Dikhate Hai,
Bhagat Ki Aankh Mein Aansu,
Na Mohan Dekh Paate Hai,
Teri Ulphat Ke Bindu Hai,
Yahi Tumko Batate Hai,
Mujhe Hardam Jalaati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai,
Mujhe Mohan Rulati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai ॥

Daya Kar Do Mere Mohan,
Tumhi Daata Kahate Ho,
Naino Mein Neer Hai Mere,
Mujhe Tum Kyun Rulate Ho,
Chale Aao Mere Mohan,
Tadap Ab Sah Na Pai Hai,
Mere Jeevan Ki Saanso Ne,
Tumhari Mahima Gai Hai,
‘Yash’ Ko Dar Khinch Laati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai,
Mujhe Mohan Rulati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai ॥

Kanhaiya Har Ghadi Mujhko,
Tumhari Yaad Aati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai,
Mujhe Mohan Rulati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai,
Mujhe Mohan Rulati Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai ॥
कन्हैया हर घडी मुझको, तुम्हारी याद आती है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कन्हैया हर घडी मुझको, तुम्हारी याद आती है, तुम्हारी याद आती है, मुझे मोहन रुलाती है, तुम्हारी याद आती है, मुझे मोहन रुलाती है, तुम्हारी याद आती है ॥
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanJhulan Yatra BhajanKrishna Murari Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Teri Jata Se Behti Hai Gang Dhara

Shankar Teri Jata Se, Bahati Hai Gang Dhara Kali Ghata Mein Chamke, Jaise Koi Sitara ।

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me, Tera Dam Dam Damaroo Bole Sare Jahan Mein॥ Sun Damaroo Ki..

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo, Ghat Bhar Ke Ganga Jai Se Kavad Liye Bharo,
Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo ॥

Baba Nene Chaliyo Hamaro Apan Nagari

Auro Baharab Ahan Ke Dehari Baba, Auro Baharab Ahan Ke Dehari, Baba Nene Chaliyau Hamaro Apan Nagari..

Meri Laaj Rakhna Bhole Meri Laaj Rakhna

Meri Laaj Rakhna, Tere Dware Aaya Mein Baba, Teri Sharan Mein aaya Mein Baba, Meri Laaj Rakhna Meri Laaj Rakhna ॥