Kar Do Daya Drashti Sab Par Bhawani (कर दो दया दृष्टि, सब पर भवानी: भजन)


Kar Do Daya Drashti,
Sab Par Bhawani,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri,
Aaye Saran Mein,
Ham Dukh Se Hare,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri,
Kar Do Daya Drashti,
Sab Par Bhawani,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri ॥
Hamko Bharosa Hai Bas Tumhara,
Sankat Mita Do Tum Hamara,
Chintan Karun Mein Sada Tumhara,
Sabse Pawan Naam Tihara,
Mujhpe Karo Maa Karuna Ka Saya,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri,
Kar Do Daya Drashti,
Sab Par Bhawani,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri ॥

Tum Chintapurni Tum Chinta Harati,
Jo Dar Pe Aaye Tum Jholi Bharti,
Main Bhi Khada Hun Maa Tere Dware,
Ankhiyan Ye Meri Tumako Nihare,
Upkar Mujh Par Itna Maa Kar,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri,
Kar Do Daya Drashti,
Sab Par Bhawani,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri ॥

Tum Naina Devi Tum Hi Maa Jwala,
Naam Se Tere Jag Mein Ujala,
Mere Hrudaya Mein Jyoti Jagao,
Andhakar Jivan Ka Tum Mitao,
Apna Maa Darsan Hamke Dikhao,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri,
Kar Do Daya Drashti,
Sab Par Bhawani,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri ॥

Charanon Mein Apane Mujhako Bithalo,
Anchal Mein Apne Hamko Chupalo,
Avagun Hamare Sare Visaro,
Meri Aur Bhi Maa Ab Niharo,
Daati Ye Sagar Tujhko Pukare,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri,
Kar Do Daya Drashti,
Sab Par Bhawani,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri ॥

Kar Do Daya Drashti,
Sab Par Bhawani,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri,
Aaye Saran Mein,
Ham Dukh Se Hare,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri,
Kar Do Daya Drashti,
Sab Par Bhawani,
Hay Maat Meri Hey Maat Meri ॥

Jay-Jay Ambe Jay-Jay Ambe,
Jay Jagadambe Jay Jay Ambe,
Jay-Jay Ambe Jay-Jay Ambe,
Jay Jagadambe Jay Jay Ambe ॥
कर दो दया दृष्टि, सब पर भवानी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कर दो दया दृष्टि, सब पर भवानी, हे मात मेरी हे मात मेरी, आए शरण में, हम दुःख से हारे, हे मात मेरी हे मात मेरी, कर दों दया दृष्टि, सब पर भवानी, हे मात मेरी हे मात मेरी ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Narayani Sharanam

Maan Se Bhakti Hai, Maan Se Shakti Hai, Maan Se Mukti Hai, Karta Jo Maan Ka Sumiran...

Maiya Tere Bhakto Ko Tera Hi Sahara Hai

Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai, Tere Bina Is Jag Mein, Koi Na Hamara Hai, Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai ॥

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..