Kitne Dino Ke Baad Hai Aayi Bhakto Raat (कितने दिनों के बाद है आई, भक्तो रात: भजन)


Kitne Dino Ke Baad Hai Aayi,
Bhakto Raat Bhajan Ki,
Ab Aa Bhi Jaa Maiya,
Aash Lagae Aae,
Bhakto Raat Bhajan Ki ॥
Suraj Chand Sitare Hardam,
Tera Maa Gun Gate,
Dur Dur Se Bhakta Maa Tere,
Darshan Paane Aate,
Tere Charno Main Maa,
Jyot Lagae Aae,
Bhakto Raat Bhajan Ki,
Kitne Dino Ke Baad Hai Aayi,
Bhakto Raat Bhajan Ki ॥

Dukhiyon Ka Duhkh Dur kare Maa,
Dushton Ka Sanhaar Kare,
Jo Maa Ko Shradha Se Dhyaye,
Maa Uska Udhar Kare,
Sach Kahata Hun Hai Ye,
Mamta Ki Bhae Aae,
Bhakto Raat Bhajan Ki,
Kitne Dino Ke Baad Hai Aayi,
Bhakto Raat Bhajan Ki ॥

Is Jag Main Sab Kucha Hai Paraya,
Jhuthi Hai Sab Maiya,
Dhul Jate Hai Paap Sabhi Jab,
Maa Ka Darshan Paya,
Bas Darshan Paa Le Tera,
Sherawali Mae Aae,
Bhakto Raat Bhajan Ki,
Kitne Dino Ke Baad Hai Aayi,
Bhakto Raat Bhajan Ki ॥

Kitne Dino Ke Baad Hai Aayi,
Bhakto Raat Bhajan Ki,
Ab Aa Bhi Jaa Maiya,
Aash Lagae Aae,
Bhakto Raat Bhajan Ki ॥
कितने दिनों के बाद है आई, भक्तो रात: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कितने दिनों के बाद है आई, भक्तो रात भजन की, अब आ भी जा माँ, आस लगाई आई, भक्तो रात भजन की ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Hey Raja Ram Teri Aarti Utaru

Hey Raja Ram Teri Aarti Utaroon, Aarti Utaroon Pyare Tumko Manaoon, Avadh Bihari Teri Aarti Utaroon, Hey Raja Ram Teri Aarti Utaroon ॥

Chhote Chhote Ghungru Chhote Chhote Paanv

Chhote Chhote Ghungaru Chhote Chhote Paanv, Chham Chham Nache Dekho Veer Hanuman ॥

Janme Hai Ram Raghuraiya Awadhpur Mein

Janme Hai Ram Raghuraya, Awadhpur Mein Baje Badhaiya, Baje Badhaiya Baje Badhaiya,
Janme Hai Ram Raghuraya, Awadhpur Mein Baje Badhaiya ॥

Prabhuji Tum Chandan Hum Pani

Prabhu Ji Tum Chandan Hum Paani, Jaaki Ang-ang Baas Samaani, Prabhu Ji Tum Chandan Hum Paani ॥