Koi Shubh Kam Ho (कोईं शुभ काम हो: भजन)


Koi Shubh Kam Ho Sabse Pahle,
Ganesha Ko Hum Sab Manaye ॥
Doha – Sanatam Dharm Mein Jab Bhi,
Koi Shubh Kaam Hota Hai,
Sarvapratham Aadidev,
Shri Ganesh Ka Hi Naam Hota Hai ॥

Koi Shubh Kam Ho Sabse Pahle,
Ganesha Ko Hum Sab Manaye,
Reeti Devon Ne Iski Chalai,
Iss Reeti Ko Hum Sab Nibhaye,
Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle,
Ganesha Ko Hum Sab Manaye,
Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle ॥

Vakratund Ankush Kar Dhaari,
Mooshak Ki Karte Sawari,
Lambodar Ko Modak Hai Bhaye,
Bhavo Se Inko Khilaye,
Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle,
Ganesha Ko Hum Sab Manaye,
Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle ॥

Riddhi Siddhi Ke Hai Ye Swami,
Shubh Aur Laabh De Antaryami,
Vighn Badha Hare Gaurinandan,
Roli Chandan Jo Inko Chadhaye,
Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle,
Ganesha Ko Hum Sab Manaye,
Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle ॥

Insa Dayalu Dev Na Dooja,
Pratham Ho Jag Mein Inki Pooja,
Gaye ‘Pramod’ Inki Mahima,
Pad Mein ‘Pankaj’ Bhi Preet Lagaye,
Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle,
Ganesha Ko Hum Sab Manaye,
Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle ॥

Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle,
Ganesha Ko Hum Sab Manaye,
Reeti Devon Ne Iski Chalai,
Iss Reeti Ko Hum Sab Nibhaye,
Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle,
Ganesha Ko Hum Sab Manaye,
Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle ॥
कोईं शुभ काम हो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कोईं शुभ काम हो सबसे पहले, गणेशा को हम सब मनाए, रीती देवों ने इसकी चलाई, इस रीती को हम सब निभाए, कोईं शुभ काम हो सबसे पहले, गणेशा को हम सब मनाए, कोईं शुभ काम हो सबसे पहले ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jjhulan Chalo Hindolana Vrashbhanu Nandni

Jhulan Chalo Hidolana, Vrshbhan Nandni । Savan Ki Teej Aai, Navghor Ghata Chhai

Jhula Padyo Hai Kadamb Ki Daar

Jhoola Padyo Hai Kadamb Ki Daar, Jhulave Braj Nari, Braj Nari Re Braj Nari, Braj Nari Sakhiyan Sari..

Karunamayi Kripamayi Meri Dayamayi Radhe

Karunamayi Kirpamayi, Meri Dayamayi Radhe ॥

Vrindavan Ke O Banke Bihari

Hum Tumhare Paraye Nahi Hai, Gair Ke Dar Pe Aaye Nahin Hai, Hum Tumhare Purane Pujari, Hum Tumhare Purane Pujari, Hamse Parda Karo Na Murari, Vrindavan Ke O Banke Bihari ॥

Aai Bhagon Me Bahar Jhula Jhule Radha Rani

Aai Baagon Mein Bahar, Jhoola Jhoole Radha Pyari । Jhoole Radha Pyari, Haan Jhoole Radha Pyari ॥