Kya Kya Kamaya Humne,
Aao Hisab Kar Le,
Duniya Ki Baat Chhode,
Apni Kitab Padh Le,
Kya Kya Kamaya Humnen,
Aao Hisab Kar Le ॥
Kitno Ka Dil Dukhaya,
Kitno Ke Dil Ko Toda,
Kitno Ka Pyar Paya,
Kitno Ko Khud Se Joda,
Kya Kya Ganwaya Humne,
Aao Hisab Kar Le,
Kya Kya Kamaya Humnen,
Aao Hisab Kar Le ॥
Kitni Kari Hai Seva,
Kitna Kara Dikhava,
Kitna Chhala Jagat Ko,
Bankar Ke Ek Chhalava,
Kaise Bitaya Jeevan,
Aao Hisab Kar Le,
Kya Kya Kamaya Humnen,
Aao Hisab Kar Le ॥
Kitna Pharaj Nibhaya,
Kitna Kiya Karam Hai,
Ab Tak Kya Humne Jana,
Apna Bhi Kya Dharm Hai,
Kaise Nibhaya Rishta,
Aao Hisab Kar Le,
Kya Kya Kamaya Humnen,
Aao Hisab Kar Le ॥
Hum Jagran Mein Jage,
Jyoti Sada Jalai,
Jaikare Khoob Bole,
Nache Kamar Hilai,
Kitna Jagaya Mann Ko,
‘Romi’ Hisab Kar Le,
Kya Kya Kamaya Humnen,
Aao Hisab Kar Le ॥
Kya Kya Kamaya Humne,
Aao Hisab Kar Le,
Duniya Ki Baat Chhode,
Apni Kitab Padh Le,
Kya Kya Kamaya Humnen,
Aao Hisab Kar Le ॥
क्या क्या कमाया हमने, आओ हिसाब कर ले, दुनिया की बात छोड़े, अपनी किताब पढ़ ले, क्या क्या कमाया हमनें, आओ हिसाब कर ले ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our
contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!