Le Le Maiya Ka Naam Jalpe Maiya Ka Naam (ले ले मैया का नाम, जपले मैया का नाम: भजन)


Na Ye Tera Na Ye Mera,
Kaahe Kare Abhimaan,
Tera Mera Karte Karte,
Chut Jayenge Pran,
Le Le Maiya Ka Naam,
Japle Maiya Ka Naam,
Bolo Ambe Jag Dambe,
Bolo Ambe Jag Dambe ॥
Khel Kud Main Bit Gaya Bachpan,
Dhal Rahi Teri Jawani,
Waqt Hai Ab Bhi Jaag Re Bande,
Mat Kar Tu Maanmani,
Japle Maiya Ka Naam Re Bande,
Mat Kar Tu Maanmani,
Le Le Maiya Ka Naam,
Japle Maiya Ka Naam,
Bolo Ambe Jag Dambe,
Bolo Ambe Jag Dambe ॥

Karle Achhe Karma Re bande,
Jo Sanga Tere Aaye,
Moh Maya Mein Kahe Uljhe,
Ye Na Sang Mein Aaye,
Kya Jane Kab Ho Jaye,
Is Jeevan Ki Shaam,
Le Le Maiya Ka Naam,
Japle Maiya Ka Naam,
Bolo Ambe Jag Dambe,
Bolo Ambe Jag Dambe ॥

Maa Ka Naam Hai Sabse Pyara,
Saam Sawera Lena,
Maa Ke Naam Ko Japke Apna,
Jeevan Saphal Banana,
‘Sharma’ Ke To Maa Hi Banaye,
Saare Bigde Kaam,
Bhakton Ko Bhi Maa Hi Banaye,
Saare Bigde Kaam,
Le Le Maiya Ka Naam,
Japle Maiya Ka Naam,
Bolo Ambe Jag Dambe,
Bolo Ambe Jag Dambe ॥

Na Ye Tera Na Ye Mera,
Kaahe Kare Abhimaan,
Tera Mera Karte Karte,
Chut Jayenge Pran,
Le Le Maiya Ka Naam,
Japle Maiya Ka Naam,
Bolo Ambe Jag Dambe,
Bolo Ambe Jag Dambe ॥
ले ले मैया का नाम, जपले मैया का नाम: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ना ये तेरा ना ये मेरा, काहे करे अभिमान, तेरा मेरा करते करते, छुट जायेंगे प्राण, ले ले मैया का नाम, जपले मैया का नाम, बोलो अंबे जगदंबे, बोलो अंबे जगदंबे ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥