Maa Anjani Ke Lala Mera Ek Kaam Kar De (माँ अंजनी के लाला मेरा, एक काम कर दे - भजन)


Maa Anjani Ke Lala Mera,
Ek Kaam Kar De,
Subhaha Subhaha Ki Balaji,
Meri Ram Ram Lele ॥
Subhaha Subhaha Ki Ram Ram Ye,
Jeevan Sawar Deti Hai,
Ek Najar Prabhu Ram Ji Ki,
Bhav Se Utar Deti Hai,
Naiya Meri Baba Ram Hawale Kar De,
Subhaha Subhaha Ki Balaji,
Meri Ram Ram Lele ॥

Ram Naam Ka Pyaala Pike,
Dhany Tumhaare Bhaag Huye,
Saath Mein Lelo Hamako Bhi,
Ab Ham To Hain Lachaar Huye,
Mere Dil Ke Kagaj Par Tu Ram Naam Likhade,
Subhaha Subhaha Ki Balaji,
Meri Ram Ram Lele ॥

Ram Naam Ke Jap Ne Tumko,
Bana Diya Masthana Hai,
Ram Ko Meri Arji De,
Kahe ‘Kurmi Aman’ Divaana Hai,
‘Kailaash’ Tera Deewana Hai,
‘Keshav Sharma’ Ko Charanon Mein Ram Ke Tu Karade,
Subhaha Subhaha Ki Balaji,
Meri Ram Ram Lele ॥

Maa Anjani Ke Lala Mera,
Ek Kaam Kar De,
Subhaha Subhaha Ki Balaji,
Meri Ram Ram Lele ॥
माँ अंजनी के लाला मेरा, एक काम कर दे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
माँ अंजनी के लाला मेरा, एक काम कर दे, सुबह सुबह की बालाजी, मेरी राम राम लेले ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tujhme Shiva Mujhme Shiva Tan Me Shiva Man Me Shiva

Nandi Pe Chali Hai Barat Bhole Ki, Sabse Alag Hai Yo Baat Bhole Ki, Are Shukar Nache Shanichar Nache, Sang Mein Bhoot Pishachar Nache, Dekh Le Tu Goraan Yo Thath Bhole Ki...

Jagannath Chakka Nain Nilachal Vare

Jagannath Chakka Nain Neelachal Vare, Jagannath, Jagannath, Chaka Nain, Chaka Nain

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Re

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Rai, Yo Khati Ka Chhaura Baba Tera Ho Gya Sai..

Michha Duniare Gotie Sata Jagannatha

Micha Duniare Gotie Sata (2), Jagannatha Se Mo jagannath (2)

Jai Jagannath Hamen Rahana Aapke Charanon Me

Shubh Shubh Din Aaya Shubh Ghadi, Jay Jagannath Se Goonja Aasmaan , Use Chaaron Dham Ka Punya Mila, Jo Karke Poorn Teri Parikrama