Maa Dil Ke Itne Kareeb Hai Tu (माँ दिल के इतने करीब है तू: भजन)


Maan Dil Ke Itne Kareeb Hai Tu,
Jidhar Bhi Dekhun Nazar Tu Aaye,
Jo Aankhe Band Karke Maan Main Dekhoon,
Tu Hi Tu Maiya Nazar Hai Aaye,
Maan Dil Ke Itne Kareeb Hai Tu,
Jidhar Bhi Dekhun Nazar Tu Aaye ॥
Koi Hai Raja Hai Koi Bhikhari,
Ye Kaisi Leela Hai Maan Tumhari,
Kisi Ko Tarsaye Ek Dana,
Kahin Pe Bhandar Tu Lagaye,
Maan Dil Ke Itne Kareeb Hai Tu,
Jidhar Bhi Dekhun Nazar Tu Aaye ॥

Rojana Dar Pe Lage Hai Mele,
Naseeb Wale to Jai Maan Bole,
Koi Maan Laaya Hai Tera Chola,
Kisi Ki Ankhon Mein Neer Aaye,
Maan Dil Ke Itne Kareeb Hai Tu,
Jidhar Bhi Dekhun Nazar Tu Aaye ॥

Koi Maan Sone Ka Haar Laaya,
Maan Koi Chandi Ka Chhatr Laaya,
Kisi Ne Chunari Hai Maan Chadhai,
Koi to Badhaal Dar Pe Aaye,
Maan Dil Ke Itne Kareeb Hai Tu,
Jidhar Bhi Dekhun Nazar Tu Aaye ॥

Maan Dil Ke Itne Kareeb Hai Tu,
Jidhar Bhi Dekhun Nazar Tu Aaye,
Jo Aankhe Band Karke Maan Main Dekhoon,
Tu Hi Tu Maiya Nazar Hai Aaye,
Maan Dil Ke Itne Kareeb Hai Tu,
Jidhar Bhi Dekhun Nazar Tu Aaye ॥
माँ दिल के इतने करीब है तू: भजन - हिन्दी में पढ़ें
माँ दिल के इतने करीब है तू, जिधर भी देखूं नज़र तू आए, जो आँखे बंद करके माँ मैं देखूं, तू ही तू मैया नज़र है आए, मां दिल के इतने करीब है तू, जिधर भी देखूं नज़र तू आए ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Gauri Ke Ladle Mahima Teri Mahan

Gauri Ke Ladale, Mahima Teri Mahaan, Karata Hai Sabase Pahale, Pooja Teri Jahaan,
Gauri Ke Ladale, Mahima Teri Mahaan ॥

Meri Bigdi Bana De O Deva

Sabse Pahle Tera Vandan Karne Aai Umanandan Karde Puri Murade O Deva, Siddha Karde Tu Kaaj Hay Gano Ke Maharaj Meri Bigadi Bana De O Deva ॥

Teri Jay Ho Jay Ho Jay Gauri Lal

Teri Jay Ho Jay Ho, Jay Gauri Laal, Puju Tera Naam, Karo Sabako Nihal, Teri Jay Ho Jay Ho,
Jay Gauri Laal ॥

Apne Rang Ranglo Gajanan

Apane Rang Ranglo Gajanan, Dil Tumhara Ho Gaya, Dil Tumhara Ho Gaya Deva, Dil Tumhara Ho Gaya, Kuch Raha Na Mujh Main Mera, Sab Tumhara Ho Gaya, Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya ॥

Jab Japega Shiv Kaa Naam Tere Ban Jaayege Bigde Kaam

Subah Subah Nis Din Jaya Kar Shiv Ke Mandir, Subah Subah Tu Uth Ke Nis Din Shiv Ke Mandir Jaya Kar, Jab Jape Ga Shiv Ka Naam Tere Banege Bigde Kaam, Naam Jab Japega Shiv Ka Naam Tere Ban Jayege Sab Bigde Kaam...