Maa Ke Charno Mein Hi To Vo Jannat Hoti Hai (माँ के चरणों में ही तो, वो जन्नत होती है: भजन)


Jaha Pe Bin Mange,
Puri Har Mannat Hoti Hai,
Maa Ke Charno Mein Hi To,
Vo Jannat Hoti Hai,
Phike Lagte Chand Sitare,
Phike Lagte Chand Sitare,
Bhi Maa Tere Aage,
Baar Baar Main Bari Jaun,
Najar Kahi Na Lage,
Tu Kitni Bholi Hai,
Tu Kitni Pyari Hai ॥
Mamta Ki Tu Khaan Hai Maiya,
Tera Na Koi Mol,
Maa Bete Ka Rista Sabse,
Hota Hai Anmol,
Beta Jo Bhukha Ho To Maa,
Beta Jo Bhukha Ho To Maa,
Ko Bhi Kuch Na Bhaye,
Na Jane Kis Roop Mein Maiya,
Uski Bhukh Mitaye,
Tu Kitni Bholi Hai,
Tu Kitni Pyari Hai ॥

Beauladi Mein Jab Koi,
Beta Nir Bahaye,
Jagdamba Ki Chokhat Par,
Apna Daman Phelaye,
Khusiyon Se Daman Bhar De,
Godi Main Laal Khilaye,
Khusiyon Se Daman Bhar De,
Godi Main Laal Khilaye,
Ya To Khud Maa Ban Ke Beti,
Uske Ghar Aa Jaye,
Tu Kitni Bholi Hai,
Tu Kitni Pyari Hai ॥

Maa Mahima Yugo Yugo Tak,
Kabhi Likhi Na Jaye,
Meri Maa jab Bhi Muskati,
Jag Janani Dikh Jaye,
Ye Mamta Ka Anchal Maiya,
Ye Mamta ka Anchal Mujhse,
Dur Kabhi Na Jaye,
Maa Karja Na Utar Sake,
Ye Baat ‘Prakash’ Bataye,
Tu Kitni Bholi Hai,
Tu Kitni Pyari Hai ॥

Jaha Pe Bin Mange,
Puri Har Mannat Hoti Hai,
Maa Ke Charno Mein Hi To,
Vo Jannat Hoti Hai,
Phike Lagte Chand Sitare,
Phike Lagte Chand Sitare,
Bhi Maa Tere Aage,
Baar Baar Main Bari Jaun,
Najar Kahi Na Lage,
Tu Kitni Bholi Hai,
Tu Kitni Pyari Hai ॥
माँ के चरणों में ही तो, वो जन्नत होती है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जहाँ पे बिन मांगे, पूरी हर मन्नत होती है, माँ के चरणों में ही तो, वो जन्नत होती है,
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Norta ki Raat Maiya Garba Rambwa Aano Hai

Naurata Ki Raat Maiya, Garabe Ramava Aano Hai, Thaane Vadon Nibhano Hai, Norta ki Raat ॥

Barisho Ki Cham Cham Mein

Barisho Ki Cham Cham Mein, Tere Dar Pe Aae Hai । Mehrawali Mehra Kar De

Unche Unche Parvat Pe Sharda Maa Ka Dera Hai

Unche Unche Parvat Pe, Sharda Maa Ka Dera Hai, Matlab Ki duniya Main, Sachha Prem Tera Hai, Unche Unche Parvat Pe, Maiya Ka Baseara Hai, Matlab Ki duniya Main, Sachha Prem Tera Hai ॥

Maa Muraada Kar Poori

Maan Muraad Kar Poori Aas Rahe Na Adhuri, Tere Dar Se Jaunga Jholi Bhar Ke, Sherowali Mata Dekh Le, Aaya Unche Mein Pahad Tere Chadh Ke, Sherowali Mata Dekh Le ॥

Jai Jag Janani Maa Bhawani Maiya Sharda Ho Maa

Jai Jag Janani Maa, Bhawani Maiya Sharda Ho Maa, Ambe Jagadambe Jagadambike, Jag Ki Palanhar,
Bhawani Maiya Sharada Ho Maa, Jai Jag Janani Maa, Bhawani Maiyya Sharda Ho Maa ॥