Maa Ki Laal Re Chunariya (माँ की लाल रे चुनरिया: भजन)


Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye,
Maa Ki Naak Ki Nathnia,
Damdam Damdam Damki Jaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥
Mandir Laal Dhyajaen Nyari,
Dekho Phar Phar Phar Phehraye,
Lakho Nar Nari Dar Jaye,
Maa Ki Jay Jay Kar Lagaye,
Unche Parvat Pe Maharani,
Baithi Hai Aashan Ko Sajaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Maa Sohal Singar Sajaye,
Mohini Murat Maan Ko Bhaye,
Hoti Aarti Shyam Savere,
Jagmag Maa Ki Jyot Jalaye,
Hanumat Bhairo Chanvar Duraye,
Maa Ki Shobha Varni Na Jaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Tune Bhakt Aneko Ubare,
Maa Lakho Danav Saharen,
Jo Bhi Saran Main Tere Aaye,
Maiya Bhab Se Paar Utare,
Teri Laala Sabhi Bakhani,
Sare Jag Tere Gun Gaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Maa Tumne Sansar Rachaya,
Kan Kan Main Tumne Upjaya,
Har Prani Main Teri Saya,
Sara Jag Maa Teri Maya,
Mera Tan Maan Maiya Tera,
Bas Teri Hi Maa Gun Gaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Tere Dar Ka Pya Wo Payen,
Maiya Tu Jisko Bulbaye,
Jisko Dati Maa Apnaye,
Usko Sabhi Na Kastha Sataye,
Maiya Ek Siwa Dar Tere,
Duja Koi Dar Na Bhaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Mahima Teri Ved Bakhane,
Brahma Bishnu Shakar Mane,
Narad Leke Vina Teri,
Tino Lok Tujhe Bakhane,
Radha Sita Tu Savitri,
Teri Gatha Kahi Na Jayen,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Shumbh Nishumbh Ko Tumane Mara,
Maiya Jag Ka Kastha Niwara,
Dhyanu Aur Aalha Ne Dhyaaya,
Taara Ko Maa Bhav Se Tara,
Wo Jagrata Ho Na Pura,
Jisame Tere Ko Na Dhyaaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye,
Maa Ki Naak Ki Nathnia,
Damdam Damdam Damki Jaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥
माँ की लाल रे चुनरिया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
माँ की लाल रे चुनरिया, देखो लहर लहर लहराए, माँ की नाक की नथनिया, दमदम दमदम दमकी जाए, माँ की लाल रे चुनरियाँ, देखो लहर लहर लहराए ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tujhme Shiva Mujhme Shiva Tan Me Shiva Man Me Shiva

Nandi Pe Chali Hai Barat Bhole Ki, Sabse Alag Hai Yo Baat Bhole Ki, Are Shukar Nache Shanichar Nache, Sang Mein Bhoot Pishachar Nache, Dekh Le Tu Goraan Yo Thath Bhole Ki...

Jagannath Chakka Nain Nilachal Vare

Jagannath Chakka Nain Neelachal Vare, Jagannath, Jagannath, Chaka Nain, Chaka Nain

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Re

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Rai, Yo Khati Ka Chhaura Baba Tera Ho Gya Sai..

Michha Duniare Gotie Sata Jagannatha

Micha Duniare Gotie Sata (2), Jagannatha Se Mo jagannath (2)

Jai Jagannath Hamen Rahana Aapke Charanon Me

Shubh Shubh Din Aaya Shubh Ghadi, Jay Jagannath Se Goonja Aasmaan , Use Chaaron Dham Ka Punya Mila, Jo Karke Poorn Teri Parikrama