Maa Ki Laal Re Chunariya Dekho Lahar Lahar Lehraye (माँ की लाल रे चुनरिया, देखो लहर लहर लहराए: भजन)


Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye,
Maa Ki Naak Ki nathniya,
Damdam Damdam Damki Jaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥Mandir Laal Dhvajaen Nyari,
Dekho Phar Phar Phar Pheharaye,
Lakho Nar Nari Dar Jaye,
Maa Ki Jay Jay Kar Lagaye,
Unche Parvat Pe Maharani,
Bethi Hai Aashan Ko Sajaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Maa Solah Singar Sajaye,
Mohini Murat Maan Ko Bhaye,
Hoti Arti Sham Sawere,
Jagmag Maa Ki Jyot Jagaye,
Hanumat Bhairo Chanvar Duraye,
Maa Ki Sobha Barni Na Jaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Tune Bhakt Aneko Ubare,
Maa Lakho Danav Sanhare,
Jo Bhi Sharan Mein Teri Aaye,
Maiya Bhav Se Par Utare,
Teri Leela Sabhi Bakhane,
Sara Jag Tere Gun Gaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Maa Tumne Sansar Rachaya,
Kan Kan Maa Tumne Upjaya,
Har Prani Mein Tera Saya,
Sara Jag Maa Teri Maya,
Mera Tan Maan Maiya Tera,
Bas Tere Hi Maa Gun Gaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Tere Dar Ka Pyar Wo Paen,
Maiya Tu Jisako Bulavaye,
Jisko Daati Maa Apnaye,
Usko Kabhi Na Kasta Sataye,
Maiya Ek Siwa Dar Tere,
Duja Koi Dar Na Bhaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Mahima Teri Ved Bakhane,
Bhamha Bishnu Shankar Mane,
Narad Leke Beena Teri,
Tino Lok Tujhe Bakhane,
Radha Sita Tu sabitri,
Teri Gatha kahin Na jaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Sumbha Nisumbha Ko Tumne Maara,
Maiya Jag Ka Kastha Niwara,
Dhyanu Aur Aalha Ne Dhyaya,
Taara ko Maa Bhab Se Tara,
Wo jagrata Ho Na Pura,
Jisame Tere Ko Na Dhyaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥

Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye,
Maa Ki Naak Ki nathniya,
Damdam Damdam Damki Jaye,
Maa Ki Laal Re Chunariya,
Dekho Lahar Lahar Lehraye ॥
माँ की लाल रे चुनरिया, देखो लहर लहर लहराए: भजन - हिन्दी में पढ़ें
माँ की लाल रे चुनरिया, देखो लहर लहर लहराए, माँ की नाक की नथनिया, दमदम दमदम दमकी जाए, माँ की लाल रे चुनरियाँ, देखो लहर लहर लहराए ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Jai Jai Ganraj Manaun

Jai Jai Ganraj Manaun, Charanon Mein Shish Navaun, Jab Tak Saanse Hain Tan Mein, tera Hi Dhyan Lagaun,
Gajanand Ji Hamare Ghar Aao, Bulate Hai Chale Aao ॥

More Ganpati Ganesh Karo Kirpa

More Ganpati Ganesh Karo Kirpa, More Raja Maharaj Karo Kirpa, Kirpa Karo Maharaj Gaganan, Maa Gaura ke Laala, Gajanan Kirpa, More Ganpati Ganesh Karo Kirpa, More Raja Maharaj Karo Kirpa ॥

Girija Ke Chheya Ganpati Tumhe Pukaru

Girija Ke Chheya, Ganpati Tumhe Pukaru, Poojun Main Tumhe, Aarati Teri Utarun, Girija Ke Chheya ॥

Gauri Ke Lala Ho Mere Ghar Aa Jana

Gauri Ke Lala Ho, Mere Ghar Aa Jana, Ghar Aangan Ki O Deva, Sobha Badha Jana, Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana ॥

Gajanan Aa Jao Ek Baar

Sabse Pahle Ho Teri Pooja, Phir Kaam Bane Baba Duja, Ho Teri Pooja Ho Har Baar, Sabha Mein Tumhai Bulate Hai ॥