Maa Sharde Kaha Tu Veena Baja Rahi Hain (माँ शारदे कहाँ तू, वीणा बजा रही हैं - भजन)


Shlok:
Saraswati Namastubhyam, Varade Kamaroopini,
Vidyarambham Karishyami, Siddhirbhavatu Main Sada ।
Maa Sharde Kahan Tu,
Veena Baja Rahi Hain,
Kis Manju Gyan Se Tu,
Jag Ko Lubha Rahi Hain ॥

Kis Bhav Mein Bhavani,
Tu Magn Ho Rahi Hai,
Vinati Nahin Hamari,
Kyon Maa Tu Sun Rahi Hai । ..x2
Ham Deen Baal Kab Se,
Vinati Suna Rahen Hain,
Charanon Mein Tere Mata,
Ham Sar Jhuka Rahe Hain,
Ham Sar Jhuka Rahe Hain ।
॥ Maa Sharde Kahan Tu, Veena… ॥

Agyan Tum Hamara,
Maa Shighr Dur Kar Do,
Drut Gyan Shubhr Ham Mein,
Maa Sharde Tu Bhar De । ..x2
Balak Sabhi Jagat Ke,
Soot Mat Hain Tumhare,
Pranon Se Priy Hai Ham,
Tere Putr Sab Dulare,
Tere Putr Sab Dulare ।
॥ Maa Sharde Kahan Tu, Veena… ॥

Hamako Dayamayi Tu,
Le God Mein Padhao,
Amrt Jagat Ka Hamko,
Maa Sharde Pilao । ..x2
Mateshwari Tu Sun Le,
Sundar Vinay Hamari,
Karke Daya Tu Har Le,
Badha Jagat Ki Sari,
Badha Jagat Ki Sari ।
॥ Maa Sharde Kahan Tu, Veena… ॥

Maa Sharde Kahan Tu,
Veena Baja Rahi Hain,
Kis Manju Gyan Se Tu,
Jag Ko Lubha Rahi Hain ॥
माँ शारदे कहाँ तू, वीणा बजा रही हैं - भजन - हिन्दी में पढ़ें
माँ शारदे कहाँ तू, वीणा बजा रही हैं, किस मंजु ज्ञान से तू...
Bhajan Maa Saraswati BhajanSchool BhajanCollege BhajanSaraswati Shishu Mandir BhajanVasant Panchami BhajanBasant Panchami BhajanSaraswati Puja BhajanSaraswati Jayanti Bhajan

Other Popular Maa Sharde Kaha Tu Veena Baja Rahi Hain Video

By Tara Devi

By Guddu Govinda Kalika

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Baba Baijnath Hum Aael Chhi Bhikhariya

Baba Baijnath Hum Aael Chhi Bhikhariya, Ah Ke Duariya Na, Baba Baidyanath Hum Ayal Chhi, Bhikhariya Ahaan Ke Duariya Na ॥

Deedar Karne Aaya Tere Dwar

Alakha Jaga Ke Jogi, Aaya Tere Dwar, Aaya Tere Dwar Maiya, Aaya Tere Dwar, Kanhaiya Ka Deedar,
Karne Aaya Tere Dwar ॥

Koi Devta Nahi Hai Bhole Nath Ki Tarah

Koi Devta Nahi Hai, Bhole Nath Ki Tarah, Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah, Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥

Rajdulaari: Tu Mahalon Main Rahne Wali

Tu Mahalon Mein Rahne Wali, Main Jogi Jatta Dhari Hun, Tera Mera Mel Mile Na, Rahta Atal Atari Hun