Magan Ishwar Ki Bhakti Me Are Mann Kiyon Nahin Hota (मगन ईश्वर की भक्ति में - भजन)


Magan Ishwar Ki Bhakti Mein,
Are Mann Kyon Nahin Hota ।
Pada Aalasya Mein Murkh,
Rahega Kab Talak Sota ॥
Jo Ichchha Hai Tere Kat Jayen,
Saare Mail Papon Ke ।
Prabhu Ke Prem Jal Se,
Kyon Nahin Apne Ko Tu Dhota ॥

Vishay Aur Bhog Mein Phans Kar,
Na Barbad Kar Tu Apne Jeevan Ko ।
Daman Kar Chitt Ki Vrtti,
Laga Le Yog Mein Gota ॥

Nahin Sansar Ki Vastu,
Koi Bhi Sukh Ki Hetu Hai ।
Vyatha Inke Liye Phir Kyon,
Samay Anmol Tu Khota ॥

Na Patni Kaam Aayegi,
Na Bhai-putr Aur Pota ।
Dharm Hi Ek Aisa Hai,
Jo Sathi Ant Tak Hoga ॥

Bhatakta Kyon Phire Naahak,
Tu Sukh Ke Liye Murkh ।
Tere Hriday Ke Bhitar Hi Bahe,
Anand Ka Shrota ॥

Magan Ishwar Ki Bhakti Mein,
Are Mann Kyon Nahin Hota ।
Pada Aalasy Mein Murkh,
Rahega Kab Talak Sota ॥
मगन ईश्वर की भक्ति में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मगन ईश्वर की भक्ति में, अरे मन क्यों नहीं होता। पड़ा आलस्य में मुर्ख...
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Jab Jab Inke Bhakto Pe Koi Sankat Aata Hai

Jab Jab Inke Bhakton Pe, Koi Sankat Aata Hai, Mera Laal Langota Bala,
Pal Mein Dauda Aata Hai ॥

Mere Balaji Maharaj Jaikara Gunje Gali Gali

Mere Balaji Maharaj, Jayakara Gunje Gali Gali, Jayakara Gunje Gali Gali, Jayakara Gunje Gali Gali, Mere Balaji Maharaj, Jayakara Gunje Gali Gali ॥