Main Do-Do Maa Ka Beta Hun (मैं दो-दो माँ का बेटा हूँ: भजन)


Main Do-do Maa Ka Beta Hun,
Dono Maiya Badi Pyari Hai ।
Ek Mata Meri Janani Hai,
Ek Jag Ki Palanhari Hai ॥
Main Janani Ko Jab Maa Kahata,
Vo Sir Par Hath Phirati Hai ।
Trishool Rupani Dadi Ko,
Vo Jagmata Batlati Hai ।
Main Uski God Mein Jata Hun,
Vo Teri Sharan Dikhlati Hai ।
Ab Sharan Mein Teri Aaya Hun,
Tu Kyon Nahin Gale Lagati Hai ॥
॥ Main Do-do Maa Ka Beta Hun… ॥

Meri Janani Ojhal Hui,
Par Tum to Samne Ho Mere ।
Vo Isi Bharose Chhod Gai,
Ki Tum to Sath Mein Ho Mere ।
Ab Dil Jo Maa Ko Yaad Kare,
Vo Sidhe Tere Dar Jaye ।
He Jag Janani Teri Chhavi Mein Hi,
Meri Maiya Mujhe Najar Aaye ॥
॥ Main Do-do Maa Ka Beta Hun… ॥

Janani Ne Mujhko Janm Diya,
Tum Ban Ke Yashoda Pali Ho ।
Meri Janani Ki Bhi Janani Tum,
Dadiji Jhunjhunuvali Ho ।
Vo Lori Mujhe Sunati Hai,
Tum Satsang Mujhe Karati Ho ।
Vo Bhojan Mujhe Khilati Hai,
Tum Chhappan Bhog Jimati Ho ॥
॥ Main Do-do Maa Ka Beta Hun… ॥

Main Do-do Maa Ka Beta Hun,
Dono Maiya Badi Pyari Hai ।
Ek Mata Meri Janani Hai,
Ek Jag Ki Palanhari Hai ॥
मैं दो-दो माँ का बेटा हूँ: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैं दो-दो माँ का बेटा हूँ, दोनों मैया बड़ी प्यारी है । एक माता मेरी जननी है, एक जग की पालनहारी है ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanShri Rani Sati Dadi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tujhme Shiva Mujhme Shiva Tan Me Shiva Man Me Shiva

Nandi Pe Chali Hai Barat Bhole Ki, Sabse Alag Hai Yo Baat Bhole Ki, Are Shukar Nache Shanichar Nache, Sang Mein Bhoot Pishachar Nache, Dekh Le Tu Goraan Yo Thath Bhole Ki...

Jagannath Chakka Nain Nilachal Vare

Jagannath Chakka Nain Neelachal Vare, Jagannath, Jagannath, Chaka Nain, Chaka Nain

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Re

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Rai, Yo Khati Ka Chhaura Baba Tera Ho Gya Sai..

Michha Duniare Gotie Sata Jagannatha

Micha Duniare Gotie Sata (2), Jagannatha Se Mo jagannath (2)

Jai Jagannath Hamen Rahana Aapke Charanon Me

Shubh Shubh Din Aaya Shubh Ghadi, Jay Jagannath Se Goonja Aasmaan , Use Chaaron Dham Ka Punya Mila, Jo Karke Poorn Teri Parikrama