Main Hun Sharan Me Teri (मैं हूँ शरण में तेरी संसार के रचैया: भजन)


Main Hoon Sharan Mein Teri,
Sansar Ke Rachaiya,
Kashti Meri Laga Do,
Kashti Meri Laga Do,
Us Paar O Kanhaiya ॥
Main Hoon Sharan Mein Teri,
Sansar Ke Rachaiya,
Kashti Meri Laga Do,
Kashti Meri Laga Do,
Us Paar O Kanhaiya ॥

Meri Ardaas Sun Lije,
Prabhu Sudh Aan Kar Lije,
Darash Ik Baar to Dije,
Main Samjhunga Shyam Rijhe,
Patwar Thaam Lo Tum,
Majhdhar Mein Hai Naiyya,
Main Hoon Sharan Mein Teri,
Sansar Ke Rachaiya ॥

Bhagat Bechain Hai Tum Bin,
Taraste Nain Hai Tum Bin,
Andheri Ren Hai Tum Bin,
Kahin Na Chain Hai Tum Bin,
Hai Udaas Dekho Tum Bin,
Hai Udaas Dekho Tum Bin,
Gopi Gwal Gaiyya,
Main Hoon Sharan Mein Teri,
Sansar Ke Rachaiya ॥

Dayanidhi Naam Hai Tera,
Kahate Ho Antaryami,
Samaye Ho Charachar Mein,
Sakal Sansar Ke Swami,
Namami Namami Hardam,
Namami Namami Hardam,
Trijdham Ke Basaiya,
Main Hoon Sharan Mein Teri,
Sansar Ke Rachaiya ॥

Teri Yaado Ka Man Mohan,
Ye Dil Mein Umda Hai Saawan,
Bujhegi Pyaas Is Dil Ki,
Sununga Jab Tera Aavan,
Paavan Patit Ko Karna,
Paavan Patit Ko Karna,
Jagdeesh O Kanhaiya,
Main Hoon Sharan Mein Teri,
Sansar Ke Rachaiya ॥

Main Hoon Sharan Mein Teri,
Sansar Ke Rachaiya,
Kashti Meri Laga Do,
Uspaar O Kanhaiya ॥
मैं हूँ शरण में तेरी संसार के रचैया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैं हूँ शरण में तेरी, संसार के रचैया, कश्ती मेरी लगा दो, उसपार ओ कन्हैया..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanLakhbir Singh BhajanLakkha Bhajan

Other Popular Main Hun Sharan Me Teri Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shyam Nazare Dekh Lo Ab Khol Ke

Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke, Charanon Mein Rakha Kaleja, Khol Ke, Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke ॥

O Lagi Lagi Re Preet Thasu Sawariya Sarkar

O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar, Ban Ke Deewani Main To Nachungi,
Sanwara Deewani Main To Nachungi, O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar ॥

Mere Baba Tujhe Kisne Sajaya Dil Gaya Haar Sanware

Mere Baba Tujhe Kisane Sajaya, Dil Gaya Haar Sanware, Main Mud Mud Dar Tere Aaya,
Mud Mud Dar Tere Aaya, Dil Gaya Haar Sanware, Mere Baba Tujhe Kisne Sajaya, Dil Gaya Haar Sanware ॥

Main Sewak Tu Malik Shyam Hamara Hai

Hum Donon Ka Rista, Kitana Pyara Hai, Main Sewak Tu Malik, Shyam Hamara Hai ॥

Mahakal Ki Lagan

Mohe Lagi Re Lagan Mahakal Ki Lagan, Tumhare Naam Se Kismat Meri Saja Lu Mein, Tumhare Charanon Ko Hi Apana Ghar Bana Lu Mein, Mujhe Kar Gae Magan, Mahakal Ki Lagan ॥