Maiya Ke Dar Pe Najara Milta Hai (मैया के दर पे नज़ारा मिलता है: भजन)


Maiya Ke Dar Pe Najara Milta Hai,
Nigaah Ja Rahi Hai,
Meri Maa Ki Rehmat,
Najar Aa Rahi Hai,
Na Lota Hai Aaj Tak,
Koi Dar Se Khali,
Murado Se Jholi,
Bhari Ja Rahi Hai ॥Maiya Ke Dar Pe Najara Milta Hai,
Gam Ke Maaron Ko Sahara Milta Hai,
Maiya Ne Badli Hai Sabki Taqdir,
Sabki Kasti Ko Kinara Milta Hai,
Maiya Ke Dar Pe Najara Milta Hai ॥

Aaj Maa Ke Jagaran Ki Raat Hai Aae,
Aaj Khushiyon Ki Hamen Saugat Hai Aae,
Hai Badi Pyari Badi Nyari Badi Paawan,
Maa Ke Darshan Ke Liye Main Bhent Hun Lae,
Sare Bhakton Ko Sahara Milta Hai,
Gam Ke Maaron Ko Sahara Milta Hai,
Maiya Ke Dar Pe Najara Milta Hai ॥

Bhar De Daman Mein Mere Sukh Sagar ke Moti,
Tu Hi Rachana Mein Jaga Mere Gyan ki Jyoti,
Teri Kala Ki Kaliyon Se Mahake Jeewan Mera,
Amrt Ki Barsha Sare Hi Paapon Ko Dhoti,
Maa Ki Chaukhat Se Nazara Milata Hai,
Gam Ke Maaron Ko Sahara Milta Hai,
Maiya Ke Dar Pe Najara Milta Hai ॥

Besaharon Ko Sahara Mil Hi Jaega,
Maa Ki Mamata Ka Sahara Mil Hi Jaega,
‘Kamal Kishor’ Jo Shradha Se Dar Pe Jayega,
Rahamat Barasegi Kavi Ka Dil Bhi Gayega,
Sabki Kismat Ka Sitara Khilta Hai,
Gam Ke Maaron Ko Sahara Milta Hai,
Maiya Ke Dar Pe Najara Milta Hai ॥

Maiya Ke Dar Pe Najara Milta Hai,
Nigaah Ja Rahi Hai,
Meri Maa Ki Rehmat,
Najar Aa Rahi Hai,
Na Lota Hai Aaj Tak,
Koi Dar Se Khali,
Murado Se Jholi,
Bhari Ja Rahi Hai ॥
मैया के दर पे नज़ारा मिलता है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैया के दर पे नज़ारा मिलता है, ग़म के मारों को सहारा मिलता है, मैया ने बदली है सबकी तक़दीरें, सबकी कश्ती को किनारा मिलता है, मैया के दर पे नज़ारा मिलता है ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Jai Jai Ganraj Manaun

Jai Jai Ganraj Manaun, Charanon Mein Shish Navaun, Jab Tak Saanse Hain Tan Mein, tera Hi Dhyan Lagaun,
Gajanand Ji Hamare Ghar Aao, Bulate Hai Chale Aao ॥

More Ganpati Ganesh Karo Kirpa

More Ganpati Ganesh Karo Kirpa, More Raja Maharaj Karo Kirpa, Kirpa Karo Maharaj Gaganan, Maa Gaura ke Laala, Gajanan Kirpa, More Ganpati Ganesh Karo Kirpa, More Raja Maharaj Karo Kirpa ॥

Girija Ke Chheya Ganpati Tumhe Pukaru

Girija Ke Chheya, Ganpati Tumhe Pukaru, Poojun Main Tumhe, Aarati Teri Utarun, Girija Ke Chheya ॥

Gauri Ke Lala Ho Mere Ghar Aa Jana

Gauri Ke Lala Ho, Mere Ghar Aa Jana, Ghar Aangan Ki O Deva, Sobha Badha Jana, Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana ॥

Gajanan Aa Jao Ek Baar

Sabse Pahle Ho Teri Pooja, Phir Kaam Bane Baba Duja, Ho Teri Pooja Ho Har Baar, Sabha Mein Tumhai Bulate Hai ॥