Maiya Ke Pawan Charno Mein (मैया के पावन चरणों में - भजन)


Maiya Ke Pawan Charno Mein,
Tu Sar Jhuka Ke Dekh Le,
Deti Hai Bardan Sabko,
Tu Bhi Aake Dekh Le,
Maiya Ke Pawan Charno Mein,
Sherawali Ki Jay,
Mehrawali Ki Jay ॥
Maa Tere Ghat Ghat Ki Jane,
Isko Kya Batlayega,
Mangne Ki Kya Jarurat,
Ase Hi Mil Jayega,
Bholi Bhali Maiya Ko Bas,
Tu Rijha Kar Dekh Le,
Deti Hai Bardan Sabko,
Tu Bhi Aake Dekh Le,
Maiya Ke Pawan Charno Mein,
Sherawali Ki Jay,
Meharawali Ki Jay ॥

Sachche Bhakton Se Milane Ka,
Maa Ko Rahata Chaav Hai,
Roli Moli Chunari Se,
Badkar Tere Bhav Hai,
Prem Ke Do Bund Aansu,
To Bahakar Dekh Le,
Deti Hai Bardan Sabko,
Tu Bhi Aake Dekh Le,
Maiya Ke Pawan Charno Mein,
Sherawali Ki Jay,
Meharawali Ki Jay ॥

Maa Sada Karti Rakhwali,
Bhakton Ki Pariwar Ki,
Sara Jag Jane Hai Mahima,
Maiya Ki Darbar Ki,
‘Binnoo’ Maiya Daudi Aaye,
Tu Bulakar Dekh Le,
Deti Hai Bardan Sabko,
Tu Bhi Aake Dekh Le,
Maiya Ke Pawan Charno Mein,
Sherawali Ki Jay,
Meharawali Ki Jay ॥

Maiya Ke Pawan Charno Mein,
Tu Sar Jhuka Ke Dekh Le,
Deti Hai Bardan Sabko,
Tu Bhi Aake Dekh Le,
Maiya Ke Pawan Charno Mein,
Sherawali Ki Jay,
Mehrawali Ki Jay ॥
मैया के पावन चरणों में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैया के पावन चरणों में, तू सर झुका के देख ले, देती है वरदान सबको, तू भी आके देख ले, मैया के पावन चरणो में, शेरावाली की जय, मेहरावाली की जय ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon

Kare Hahakar, Nihshabd Sada O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Shiv Ki Jata Se Barse Ganga Ki Dhar Hai

Shiv Ki Jata Se Barase, Ganga Ki Dhar Hai, Ganga Ki Dhar hai, Mahina Ye Sawan Ka Hai,
Chae Bahar Hai ॥