Maiya Ko Apne Ghar Bulayenge (मैया को अपने घर बुलाएंगे: भजन)


Maiya Ko Apne Ghar Bulayenge,
Saare Milakar Maa Ka Laad Ladaenge ॥
Sone Ki Jhari Mein,
Ganga Jal Mangwaya,
Maiya Ke Swagat Mein,
Chandan Chouk Puraya,
Haathon Se Charnon Ko Dhulayenge,
Saare Milakar Maa Ka Laad Ladaenge ॥

Maiya Ki Pyari Si,
Chunari Hai Banbae,
Chandi Ke Pyale Main,
Mehendi Hai Dhulwae,
Maa Ke Haathon Mehandi Rachayenge,
Saare Milakar Maa Ka Laad Ladaenge ॥

Maiya Ki nathali Mein,
Hira Hai Jadwaya,
Mathe Ki Bindi Ko,
Sone Main Ghatwaya,
Chandi Ki Paayaliyan Pahanayenge,
Saare Milakar Maa Ka Laad Ladaenge ॥

Phoolon Ke Pyare Se,
Gajare Hai Mangavaye,
‘Harsh ‘Kahe Thali Mein,
Roli Moli Laye,
Haathon Se Maa Ko Ham Sajayenge,
Saare Milakar Maa Ka Laad Ladaenge ॥

Maiya Ko Apne Ghar Bulayenge,
Saare Milakar Maa Ka Laad Ladaenge ॥
मैया को अपने घर बुलाएंगे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैया को अपने घर बुलाएंगे, सारे मिलकर माँ का लाड़ लड़ाएंगे ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Ek Tu Hi Hai Mera Baki Sab Hai Veham

Mere Baba Sath, Chhodna Na Tujhe Hai Kasam, Ek Tu Hi Hai Mera, Baaki Sab Hai Vaham, Mere Baba Sath, Chhodna Na Tujhe Hai Kasam ॥

Kanhaiya Se Najare Mila Ke To Dekho

Kanhaiya Se Nazre, Mila Ke to Dekho, Sanwariye Se Nazre, Mila Ke to Dekho, Dilon Jaan Inpe, Luta Ke to Dekho, Kanhaiya Se Nazren, Mila Ke to Dekho ॥

Bansi Bajake Meri Nindiya Churai

Bansi Baja Ke Meri Nindiya Churai, Ladla Kanhaiya Mera Krishn Kanhai, Kunj Gali Mein Dhoondhen Tumhe Radha Pyari