Maiya Ye Jeevan Hamara Aapke charno Me Hai (मईया ये जीवन हमारा, आपके चरणों में है: भजन)


Maiya Ye Jeevan Hamara,
Aapke charno Me Hai,
Din Dukhiyo Ka Gujara,
Aapke charno Me Hai,
Maiya Ye Jivan Hamara,
Aapke charno Me Hai ॥
Aapki Rehamat Se Milti,
Izzat Ki Do Rotiyan,
Aapki Rehamat Se Milti,
Izzat Ki Do Rotiyan,
Hum Garibo ka Gujara,
Aapke charno Me Hai,
Maiya Ye Jivan Hamara,
Aapke charno Me Hai ॥

Kya Mukadar Ka Bharosa,
Saath De Ya Na Bhi De,
Kya Mukadar Ka Bharosa,
Saath De Ya Na Bhi De,
Meri Kismat Ka Sitara,
Aapke charno Me Hai,
Maiya Ye Jivan Hamara,
Aapke charno Me Hai ॥

Main Bhala Chinta Kyun Karun,
Hai Bharosa Aap par,
Main Bhala Chinta Kyun Karun,
Hai Bharosa Aap par,
Mera Ye Parivar Sara,
Aapke charno Me Hai,
Maiya Ye Jivan Hamara,
Aapke charno Me Hai ॥

Ye Jaha To Hai Bhikhari,
Maa Ke Dar Pe Mang Le,
Ye Jaha To Hai Bhikhari,
Maa Ke Dar Pe Mang Le,
Jannat Aur Mukti ka Dwar,
Aapke charno Me Hai,
Maiya Ye Jivan Hamara,
Aapke charno Me Hai ॥

Maiya Ye Jeevan Hamara,
Aapke charno Me Hai,
Din Dukhiyo Ka Gujara,
Aapke charno Me Hai,
Maiya Ye Jivan Hamara,
Aapke charno Me Hai ॥
मईया ये जीवन हमारा, आपके चरणों में है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मईया ये जीवन हमारा, आपके चरणों में है, दिन दुखियो का गुज़ारा, आपके चरणों में है, मैया ये जीवन हमारा, आपके चरणों में है ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Raja Ram Aaiye Mere Bhojan Ka Bhog Lagaiye

Raja Ram Aaiye, Prabhu Ram Aaiye, Mere Bhojan Ka, Bhog Lagaiye ॥

Jape Ja Tu Bande Subah Aur Sham

Jape Ja Tu Bande, Subhah Aur Shaam, Shree Ram Jay Ram, Jay Jay Ram, Shree Ram Jay Ram, Jay Jay Ram ॥

Katha Ram Ji Ki Hai Kalyankari

Katha Ram Ji Ki Hai Kalyankari, Magar Ye Karega Ashar Dhire Dhire, Ahankar Mad Moh Phela Jo Bhitar, Utaregi Sara Jahar Dhire Dhire, Katha Ram Ji Ki Hai Kalyankari, Magar Ye Karega Ashar Dhire Dhire ॥

Raksha Karo Mere Ram

Raksha Karo Mere Ram, Raksha Karon Mere Ram, Man Ki Lagi Hai Tumse Hi Bhagwan, Man Ki Lagi Hai Tumse Hi Bhagwan, Poojun Tum Subah Shaam, Raksha Karo Meren Ram, Raksha Karo Meren Ram ॥