Mandir Mein Aao Mohan Darshan Ko Bheed Hai (मंदिर में आओ मोहन दर्शन को भीड़ है: भजन)


Mandir Mein Aao Mohan,
Darshan Ko Bheed Hai,
Sevakia Bulave Pyare,
Thari Hi Udik Hai,
Mandir Mein Aao Mohan ॥
Dhire Dhire Chalna,
Hame Dega Darshan Baba,
Aata Hi Hoga,
Wo Pahan Kesariya Baga,
Diwane Tere Naam Ke,
Tujhse Ummid Hai,
Sevakia Bulave Pyare,
Thari Hi Udik Hai,
Mandir Mein Aao Mohan ॥

Tu Pyara Tera Naam Bhi Pyara,
Sabko Tera Sahara,
Bich Bhawar Main Jo Bhi Dole,
Usko Paar Utara,
Bis Bhi Amrut Dhar Hai,
Jinko Tumse Pret Hai,
Sevakia Bulave Pyare,
Thari Hi Udik Hai,
Mandir Mein Aao Mohan ॥

Akash Hai Neela Neela,
Ghoda Leele Ki Asavari,
Haath Mein Pyari Morchadi,
Hira Jari Katari,
Kya Gujab Srungar Hai,
Ham Sab Murid Hai,
Sevakia Bulave Pyare,
Thari Hi Udik Hai,
Mandir Mein Aao Mohan ॥

Jisko Tu Bulata,
Wo Hi Chalke Aata,
Tere Nachaye Nache,
Tu Haath Pakad Ke Nachta,
Sudama Garib Ko,
‘Sajjan’ Ye Geet Hai,
Sevakia Bulave Pyare,
Thari Hi Udik Hai,
Mandir Mein Aao Mohan ॥

Mandir Mein Aao Mohan,
Darshan Ko Bheed Hai,
Sevakia Bulave Pyare,
Thari Hi Udik Hai,
Mandir Mein Aao Mohan ॥
मंदिर में आओ मोहन दर्शन को भीड़ है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मंदिर में आओ मोहन, दर्शन को भीड़ है, सेवकिया बुलावे प्यारा, थारी ही उडीक है, मंदिर में आओं मोहन ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.